How To BECOME MORE CONFIDENT IN HINDI how to become confident in hindi ,confident insaan kaise bane, CONFIDENCE KAISE BADHAYE, CONFIDENT KAISE BANE DIKHE


how to become confident in hindi

Usually 2 types ke log hote hai
1. wo jinko kisi situation ya kisi cheez se darr lagta hai to wo sidha QUIT kardeta hai
    unhe ghabrahat hoti hai or usually aise logo ko DIFFIDENT bolte hai
    jinke andar confidence nhi hota ya usually shy type ke log hote hai

2. or second type ke bhi log hote hai jinhe darr lagta hai cheezo or situation se
    par wo darne ke baad bhi actions lete hai or aise he logo ko log CONFIDENCE PERSON
    kehte hai

dekho bhot se logo ko lagta hai ki unme confidence nhi hai because wo bacchpann se he introvert or shy type ke log the isliye wo kabhi confidence nahi bann sakte
but ye SACH NAHI HAI

confidence kaise bane , how to become more confident

kyuki introvert se introvert insaan bhi selective confidence rakhte hai
matlab wo apne parents ke saamne shy feel nahi karte ya kuch apne friends ke saamne shy feel nahi karte jo dikhata hai ki unme bhi confidence to hai but wo usse properly use nahi kar paate

or isliye mere hisaab se koi bhi confident insaan ban sakta hai even wo EXTROVER insaan bhi bann sakta hai agar wo choose kare to
agar wo choose kare ki usko shy nahi balke confident banke life bitani hai or mai ye koi book summary ki baat nahi batara kyuki ye mere khud ka experience bhi hain mai kaafi time tak ek introvert baccha tha.

CONFIDENCE ek bhot IMPORTANT cheez hai jo insaan ko hona he chahiye agar wo life mai successful hona chahata hai

how to become more attractive

or ye bhi mai again apne personal experience se bolra hu because jab maine apne andar confidence laaana start kara tabhi se meri life bhi CHANGE hona start hui
or ye baat bhi fact hai ki CONFIDENCE  ek BELIEVE aapke successful hone ka

ek believe jo aapko actions lene mai help krta hai aapke SELF ESTEEM ko badhate hue
or ye to aap samjte he ho jinta aap ACTIONS loge utna zyda aapke chanes badhege
aapke successful hone ke

so isiliye aj mai aapke saat kuch points share kruga
jo aapko ek bhot confident insaan banne mai help krega
so lets begin

aapne kabhi notice kiya hai jab aap kisi bacche se milte hai
to uske saamne aapko kabhi nervous feel nhi hota ya aap kisi aise insaan se miloge jiski aap zyada respect nahi karte to uss insaan ke saamne bhi aap usually confident he rahoge

lekin aap jaise he kisi bade insaan ke saamne jaoge bada matlab status mai paiso mai ya talent mai
to kayi baar aapko nervous feel hota hoga ya under confident feel hoga
well maine to ye cheez apne saat bhot baar notice ki hai
jab mai shy type ka ladka tha

but ab mai waisa nahi hu kyu kyuki ab mai dusro se apne aap ko compare nahi karta
mai dusro se inspire zarur hota hu but kabhi compare nahi karta
dekho confidence usse nahi kaha jaata jab koi insaan stage pe ye sochke jaaye
ki wo dusro se better hai nahi

balke true confidence use kaha jaata hai jab ek insaan aapne aap ko kisi se bina compare kiye
bina confidence rakhe

EXAMPLE= agar mai ye sochke apne andar confidence rakhu ki meri website mai bhot saare visitors hai to shyad muje isse thoda confidence to milega par isse hoga ye ki jab meri website se zyada visitors waale log mere saamne rahaege to muje inferior or under confident feel hoga
agar aisi he hum apne aap ko compare karke confidence rakhege to to ye best nahi hai

kyuki dekho aapko hamesha koi na koi to aapse aage mil he jaiga
intelligence mai,status mai,talent mai isliye hamesha ye socho ki aap aap ho
NAA KOI AAPSE UPER HAI NAA KOI AAPSE NICHE

kyuki jab aisi soch aap apne andar rakhoge
tabhi aap apne andar true confident laa paoge

LESSON NO.1 STOP COMPARING
or agar compare karna bhi hai to bus apne aap se kro ki kal aap kaise the
or aaj aap kitne better ho kalse buss

agar mai aapko imagine karne bolu ek confident insaan ko
to aapke dimaag mai kaisa insaan aaega
kya wo aisa insaan hoga jo jhuk ke chalta hoga?
jiski nazre hamesha zameen pe tiki rehti hogi

jo eye contact karne se bhi ghabrata hoga baat karte hue ya jo ekdam dheere dheere baat karta hoga
nahi naa!!

isliye sabse phele aap right now confident start karna chahate ho
to sabse phele aap apni body language badlo
because kaha jaata hai or aapne suna bhi hoga
ki 55% communication hum apni body language se karte hai

or 35% apne voice tone se isliye sabse phele apni body language or voice tone ko confident waali banao matlab straight khade raho ya baitho thodi personal space lo or zyada zorse bhi mat bolo or zyada slow bhi mat bolo normal voice mai bolo eye contact kro
smile rakho chehere par or aisi kayi cheez kar sakte ho jo aapko instantly confident feel kawaegi

or ye sab dusro ko bhi dikhayi degi
or iske piche kayi scientific studies bhi hai
infact amy caddy(book author) ne puri book likhi hai isi topic pe
ki kaise aa apni body posture se apne aap ko confident bana sakte ho

example-: wo ek superman pose ki baat karti hai apni book mai
jisme insaan apne kamar mai dono haat rakhta hai or pair ke bich mai thoda gaip rakhta hai
wo bolti hai agr ye pose aap 2 min tak ke karoge to instantly aapke testosterone level badh jaige
jo fir aapka confidence bhi badhaega

or wo khud ye cheez hamesha krti bhi hai confidence ke liye jab wo koi speech dene jaari hoti hai ya koi interview se phele agar aapko or baate sikhni ahi Amy Caddy ki
To mai uspe bhi summary banane waala hu


2.CONFIDENT BODY LANGUAGE

aap apni body language ko confident insaan wali banao
ek bhot badi cheez jo logo ka confident girati hai usse ek famous scientist ne naam diya hai
COGNITIVE DISONANCE wo bolte hai ki agar hum bus is cheez ko apni life se nikaal dege

to pakka hum authentic or confident insaan ban jaige phele se
COGNITIVE DISONANCE ka matlab hota hai ki agar hum kuch sochte hai kuch feel krte hai ya decision lekin jab humare actions usse match nahi karte to usse he COGNITIVE DISONANCE bolte
hai

Example-: agar mai sochta hu ki muje har hafte 2 articles likhna hai chahe kuch bhi ho
lekin fir mai kaam nahi karta or fir article likhna delay kardeta ya likhuga he nahi
to ye chiz muje unconsiously muje looser feel karwaegi
or mera confidence bhot gira degi

kyuki meri soch  or mere action bhot alag hai
to isse lada kaise jaa sakta hai
ye bhi bhot easy hai
aap kya kro ki chote goals set kro

example-: aap socho ki mai abhi bus 5 minutes ke liye walk pe jauga
fir jaake walk kro fir ye chotisi cheez instantly aap confident feel kroge
because isse aapko sense of achievement aaegi or aapko pata chalega ki aapki life aapki control mai hai

jo fir aapke confidence ko boost karega
or yahi hai 3rd point confidence ka

3.MAKE SMALL GOALS AND ACHIEVE THEM

matlab chote chote goals banao or unhe achieve kro
ek experiment mai kuch logo ko 4 - 4 ke group mai divide kardiya gaya
fir unhe bola gaya ki maths ke kuch problems solve kare
or answers ajane par wo group ke saat discuss karke

apne final answers dede or jo bhi maximum sahi answers dega
unhe cash price diya jaiga ab iss experiment se kuch amazing baate saamne aayi
jinhone group mai sabse confidence ke saat answers diye the
unhe logo ne group mai apne se maths mai better samjha

bina ye dekhe unhe ki unke answers sahi bhi the yaa galat
inshort ye study se ye pata chala ki FAKE SELF CONFIDENCE
zyada power rakhta hai compare to sahi answers dene ke
because usually log jab dekhte hai

ki saamne waala confident hai to unki galtiya galat reasoning sab neglect krdete hai
isliye aap dekhoge ki sales mai politics mai or kayi jagah log fake confidence show karte jo unhe logo ko imress krne mai bhot help karta hai

isliye aap bhi FAKE  kro ki aap bhi bhot confident insaan ho
or fake he sahi lekin ek bhot confident insaan jaisa behave karo
because ye chiz duniya mai sab iske wajah se aapko confident samjhege
or ye bus bolne ki baat nahi hai

even kayi researches mai bhi ye bataya jaata hai ki
aap usse insaan jaisa act kro jis insaan jaisa aap banna chahate ho
because ye chiz aapko eventually aapko us insaan ke jaisa bana bhi degi
so point

 no.4 FAKE IT UNTIL YOU MAKE IT
true confident ek model follow krta hai jisse kehte haI  ABC MODEL
jaha A=ABILITIES
B=BELIEVES
 C= CONTIGENT

matlab jab hum apne anadar skills paida karte hai kuch sikhte hai ya kisi cheez mai expert bante hai
to ye chiz humare confident ko bhot boost karta hai or humare believes ko strong karta hai ki
haan hum confident hai jo sabse important hai

lekin usually confident contigent bhi hota hai
matlab shayad aap apne kaam ko leker confident rhoge
ki haan wo aap ache se karte ho
par shayad aap apke parenting skills pe aap confident nahi ho

isliye bhot zaruri hai ki aap apni skills ko badhao har field mai
specially apni communication skills mai
ALSO READ-:NO.1 How To Make People Like You In 5 Second? in hindi 
                         NO.2 MILLION DOLLAR HABITS BY BRIAN TRACY IN HINDI 
                         NO.3 HOW TO MAKE PEOPLE LIKE YOU IN 90 SECONDS Summary IN HINDI part 1 
  
NO.4HOW TO MAKE PEOPLE LIKE YOU IN 90 SECOND SUMMARY IN HINDI PART 2  
 
mai kuch communication  book summary link dera hu jisse aapki commuication behtar hote jaigi
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

abhi ke liye bus itna he humse jude rehte ke liye humari website mai or bhi article check kar sakte hai jisse aap apni life mai behtar banaoge mera naam hai kaunain milta hu firse naye article mai THANKS FOR READINGS SHARE THIS AND SUPPORT ME
INSTAGRAM MAI MUJE FOLLOW KARE @KAUNAIN_RIZVI

How To BECOME MORE CONFIDENT IN HINDI how to become confident in hindi ,confident insaan kaise bane, CONFIDENCE KAISE BADHAYE, CONFIDENT KAISE BANE DIKHE How To BECOME MORE CONFIDENT IN HINDI how to become confident in hindi ,confident insaan kaise bane, CONFIDENCE KAISE BADHAYE, CONFIDENT KAISE BANE DIKHE Reviewed by @KaunainRizvi17 on February 22, 2019 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.