HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2


HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to
abhi kuch mahine phele aapne NIPAH VIRUS ke baare mai zarur suna hoga
apne kisi dost social media ya news channel se
because tab phelehar jagah bus NIPAH NIPAH NIPAH !!

chalraa tha wo kaise hota hai log kaise marre hai uske wajah se
or kaise hume usse bachna chahiye etc etc,
jab ki fact to ye hai ji NIPAH ke wajah se humari billions ki population mai
around 20 logo ki maut hui thi wo bhi south mai

but iss darke india mai sab pagalo ki tarah text send krre the ek dusre ko
fruit dhoke khane waale dekho ab galat mat samjho mai ye nahi bolra hu
ki ye galat tha ye bhot acha tha i am proud ki log knowledge lerehai
aapne aap ko or dusro ko bachane ke liye

or bus ek jaan jana bhi bhot badi baat hoti hai
but aap logo ko nahi lagta humlog ko isse zzyada ya NIPAH VIRUS
se zyada fikr uss chiz ke liye bhi karni chahiye jo chiz har saal lakho logo
ki jaan leri hai

jo chiz croro logo ki life kharab karri hai or bus india ke koi ek part mai nahi
balke duniya bharke kone kone mai jiska shikar baccho baccho se lekr budhe tak hai
sab hai infact bhot zyada chances hai ki aapki family friends mai se koi na koi to
iss bimari ka shikar hoga

ab jis khatarnaak bimari ka mai naam lera hu uska naam hai
WORRY(bhot zyada kisi bhi cheez ko lekr fikr karna)
jo ki paida krta hai stress anxiety depression or tension jaisi dusri kayi khatarnaak chizo ko

Doctor O.F Gobronn jo ki ek chief physician hai wo bolte hai ki
70% patients jo unke paas aate hai wo apne aap ko khud he thik kar sakte hai
matlab unki body mai wo natural capablity hai jo unko khud thik kar sakti hai
bus agar wo apne darr or worry se jit jaye to

infact ek nobel prize winner Dr. alexis carrer kehte hai ki
jo log apni fikr worry se ladna nahi jante  wo log jaldi marte hai
because worry stress he wo reason hai jiske waajah se kayi
saari bmariya directly indirectly ek insaan ko hoti hai

jiski wjah se wo kuch badi bimariyo se achese ladh nahi paate
Example-: research se pata chala hai ki kayi type ke stomach ulcers
heart diseases ,high blood pressure ,diabetes ,thyroid,paralysis,insomnia etc

or aisi kayi sari badi bimari zyada fikr karne se linked hai connected hai
jo har saal lakho logo ki jaan leleti hai khud he ya fir bimar insaan
thik na hone deke isliye PLEASE! agar aap api health ko leke
acha raakhna chahte ho to aajse he zyada fikr karna band krdo

ab muje pata hai ye chiz bolna aasan hai but karna mushkil par
isliye he aaj mai jo amazing book ki baat  aapko sikhane waala hu usme kayi techniques hai jo aapko
worry ko khatam karke aapko ek happy or healthy life jine mai madad karega
or bus mai ye sunke nahi bolra hu

but sach to ye hai ki meri life mai bhi ek time aya tha jab muje bhot zyada stress
anxiety depession hogya tha kuch personal reason ke wajah se
tab maine isi book ko padha tha or sach tabse he muje bhot himmat or techniques mili
muje meri sab problems se ladne ke liye to aaj mai aapkko wahi book ki baate batane waala hu

HOW TO STOP WORRY START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

  DAY TIGHT COMPARTMENT

World war 2 ka time chalra tha tab Ted Benjarmino grave registration mai kaam karte the
matlab sab mare hue logo ka hisaab rakhna dead bodies dekhna unkli famlily ko ye buri khabar dena
or unki bachi kuchi body unki family tak pochana ye ssab or aisa kayi dil tod dene waale kaam
wo karte the

wo apne wo inhe kaam ke wajah se wo stress mai aane lage the ye sab dekh dekh kar wo bus dua krte the ki kaise bhi wo War khatam hojaye warna wo pagal ho jaige unki dimamag mai itna saari buri cheze ke wajah se stress ane laaga tha ki fir uske wajah se unka weight bhot kam hone laga
wo haddi jaise hogye the

or fir unke pet mai itna dard hone laga ki unhe admit karna pada but fir unhe admit hone ke baad ek aisi baat sikhne mili jisne unhe himmat to di he or sat he saat unhe apni fikr se ladne ka rasta bhi dikhaya wo bhi zindagi bhar ke liye

hua ye ki unhe ek army doctor mile jinhone samjhaya ki dekho jaise ek HourGlass
mai mitti ke hazaro daane hote hai jo ek ek karke uss patle se raste se niche jaare hote hai
aap kitna bhi chaho wo sab ek saat niche nahi jaige or agar aap zyada force kroge to
aisa karne se wo tut bhi sakta hai isliye better hai ki hum ek ek mitti ko aaram se pass hone de

sam,jne waali baat ye hai ki tum mai or humari life bhi uss hourglass ki tarah he hai
jab hum har subah uthete hai tab humare dimaag aai hazaro chiz aa sakti hai
kayi problems stress or kaaam aa sakte hai jo hum sochte hai ki sab ek saat
khatam hojaye but agar hum ek ek mitti k daane ki tarah sab pe ek ek karke focus krke unhe khatam
naahi kare or saab ek saat sochege to ye chiz hume mentally or physicially khatamkar degi

200 ssaal phele ka ek bhot purana Quotte hai ki
" durr dhundhla kya dikhraa hai uski fikr mat kro
bus ekdam saamne jo ekdam saaf dikhra hai usse khatam karo"

zyada tar logo ki yahi problem hoti hai ki wo bhot saari chizo ke baare mai ek saat sochne lagte hai
ye karna hai wo karna hai sab sahi hojaye sab khatam hojaye
or yahi sochte sochte wo koi action nahi le paate
jiske wajah se ek taraf unki problem khatam nahi hoti

or dusre taraf unka stress bhot zyada badh jaata hai jo fir unki life kharab karne lagta hai
isliye bus try kro or aaj ke din ko jine ki koshsish kro bus ek ek kaam pe focus karke
unhe khatam karo


ANALYSIS FACTS

 Galen Lichfield shanghai ke ek life insurance company mai manager the
ab again World War 2 ke time pe he jab dushman japanese humla karke saare paise uss company se nikalwa rahe the tab Galen ka kaam tha ki wo paise barabar japanese ko nikal ke dede
warna unhe maar dege ab unhone to waise hee kiya

but kisi reason ke wajah se wo 7 lakh 50 thousand dollars japanese ko transfer karna bhul gaye
or ye galti japanese admirer ko pata chal gyi jisse unhe itna gussaa aya ki wo gusse mai unke office gye jaha wo fortunately wo nahi the isliye admirer ne unke saat kaam kaarne waalo ko boldiya
ki ab manager nahi bachega

wo une bridgehouse mai daal dege
Bridge house ek aisa prissoner camp tha jaha jaane se zyada log marna pasand karte the
or jaha manager ke kahi dost mare bhi gye the

ab ye chiz jab uss manager ko pata chali ghar pe to wo bhot tension mai agaye but fir unhone panic
hoke kuch galtti karne ke bajaye hamesha ki tarah apni problem se deal karne ki
4 QUESTION AND ANSWER FORMULA  use kiya
jo 4 question ye the ki

1).WHAT I AM WORRYING ABOUT?
unki worry ka exact reason kya tha  Galen ka answer iske liye tha ki wo darr rahe the ki unhe
admirer Bridge House mai daal dege

2).WHAT I AN DO ABOUT IT?
ab iske answer maai Galen ne wo saare quesstions likh diye jo wo kar sakte the
jaise ki Shanghai  chorh ke bhaaagna
admired ke paas jana unhe apni galti batana ek translator leke
kyuki un dono ko ek dusre ki language samj nahi aati thi etc etc.

3). DECIDE WHAT TO DO
decide karna ki konsa optionn best hai ab iske answer ke liye unhone saare possible outcome
soche ki kya kya ho sakta hai or kyabest hoga jisse unhe samj aaya ki unhe next day bina kuch kare office jaanahe best hoga bina safai diye or aisa behave karke jaaisa kuch nahi hua ho

4). START CARRYING OUT DECISION
decide karne ke baad best option pe action lena unhone bhi fir wahi kiya jiska result ye nikla
wo admirer ka mood usdi n acha tha wo inhe dekh ke shock bhi hue  but fir jaldi he
wo admirer ko wahase chale jaana ka order mil gayaa or Galen bach gye!

wo bolte hai ki darke agar wo ye questions khud se nahi karte to wo pakka musibat mai
padh jaate kyuki unko darr ke admirer ko explain karna bhot baat bigaad sakta tha or unhe
bridgehouse mai jaane padh ssakta tha

ussually log worry karte hai stress krte hai kyuki wo confuse hote hai unko kuch saamj nahi aara hota hai unke dimaag mai hazar unclear question and answer hotee hai jo uhe pagal karre hote hai
jisliye agar aap ye

4QUESTIONS Galen ki taraah folllow karoge to aapka mind clear hoga or aap apne stress ko khatam karke apni worry ko khatam karke solution bhi dhund paoge


PETTY THINGS

Colorado mai ek bhot bada or mazbut tree khada tha naaturalisst ka kehna tha ki wo tree kaayi 100 saaal purana thaa lekin fir bhi badi  mazbuti se wo waaha tika hua tha apni life ko uss tree pe
14 baar bijli giri thi uss tree ne kayi khatarnaak toofan avalanche or kayi bade bade kudrat ke keher
ko jhela tha

lekin ye saari chize usse gira nahi payi thi but ek din wo gir gya girne ka reason
toofan bijli jaisi koi badi cheez nahi thi balki itni choti si cheez thi jisse ek aadmi api ungli ke bich mai dabake maar sake uss tree ko gira diya chote chote beetles ne andaar se khake

Author bolte hai hum bhi iss bade tree jaise he hote hai humlife ki badi badi problems ko
jo kabhi kabhi toofan ki tarah humari life mai aate hai usse hum badi himmat ke saat jhel lete hai
lekin jo chiz hume andar se khati hai kazor karti hai wo ha roz ke hone waali choti choti baate hoti hai fikar tension hoti hai

aaissi baate jo kuch din baad hume yaad tak nahi rehti jaise kisi ke kuch olne par fikr krna
pimple aane ki fikr karna gaadi kharab hojaane ki fikr etc etc.

or infact maxiumum time to hum unn baato ki fikr karke pareshaan hote hai
jo kabhi hoti he nahi hai

Example-: kayi saal phele jab mai cricket khelra tha tab maine shot marke ek ghar ki khidki tod diya thaa muje yaad hai tab maai itna zyada tension mai agaya tha itaa stress karne laga tha ki muje ekdam bimar jaise feel hone laga tha  mai bhot saari cheeze sochne laga ki ab kya  hoga log mere ghar pe aaege muje daant padegi maar padegi ya pata nahi jhaagda na hojaye

but actual mai aisa kuch bhi naahi hua tha maine be wajaah tension leke apnaa pura din raat kharaab  kiya aisi he meri tarah zyada tar log wo chiz ko lkr fikr krte hai jo kabi hoti he nahi hai

For Example -: ek research se pata chalahaia ki 85% baate jiski aap fikr karte ho
wo kabhi aapke saat nahi hogi or 50 baate jo hoti hai usne se 79% baate fikr karne layak he nahi hoti
matlab 975 chize jiski aap abhi fikr karre ho wo orkuch nahi bus aapka faltu daarr karraa hai

now agar kuch short or practical cheeze worry ko khatam karne ke liye batau to

1). HAVE FAITH
uper waale pe belive rakho ki sab thik hoga kyuki faith insaan ko bhot zyada himmat deta hai

2). STAY BUSY
ek aadmi ki jab lagatar 2 baccho ki maut hui thi tab wo hadd se zyad stress ai rehne laga tha but fir jo chiz ne unhe life mai aage badhne ki himmat di wo tha unka kaam krte rehna isliye aap bhi busy raho
apne goals ko pura karne mai creativity plannig ko use krte hue because normal kaam jo aap bina soche hue karte ho wo itne helful nahi hote

3). TAKE REST
achese kaam kro or kaam katrne ke baad achi nind lena bhi bhot zyada zaruri hai

4). STAY FUNNY
  Life ke funny side pe gour karo hasne kaa reason search karo or smile zyada karo
in sab chizo se aapki khushiya to badhegi he par uske saat he aap kaafi zyada strong bhi banoge
life mai

maine iss book ki kayi or achi baate ir techniques aapko batayi hai iske phele waale part mai aap wo bhi padh sakte hai niche di gayi link se

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 Reviewed by @KaunainRizvi17 on March 08, 2019 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.