SHOULD WE BATH DAILY SCIENCE BASE KNOWLEDGE IN HINDI FULL EXPLAINED kya roz nahana zaruri hai? full details in hindi

kya roz nahana zaruri hota hai? should we bath daily  full explained science base knowledge in hindi
you are reading knowledgeable dose



hume bachpan se he bataya jaata hai ki roz nahana chahiye kyoki isse hum saaf 
rahege swast rahege or ache bhi dikhege
to aapke saat bhi kabhi aisa hua hoga ki thand mai aapko bilkul nahane ka
mann na karra ho tab bhi aapko zabardasti nehlaya gaya ho
to us waqt aapne zarur socha hoga ki kya roz nahana zaruri hai ?
to aaj isi ke baare mai achese jaaenege




friends ek Dermatologist DR.RANELLA HIRSCH ne ek article mai kaha hai
hum bhot zyada nahate hai or is baat ko samjna zaruri hai
or kayi logo ke liye nahana rahat ka ahsaas hota hai!
par kuch logo ke liye nahana societal norm hai
matlab sab he to nahate hai roz
or agar humne kisi ko bataya ki hum nahi nahaye hai aaj to wo kya sochega 

click here to read how much sleep is important science base knowledge in hindi


par SCIENCE kuch or he batati hai
aapke skin ki sabse uper waali layer(parat) jisko stratum corneum ke naam se jaana jaata hai
usme kayi saare microbes ,bacteria or fungi rehte hai jo madad karte hai aapke
skin cells ko repair karne mai or jo bad bacteria or viruses jo haani karak hote hai 
unse ladne mai or unko khatam karne mai 

click here to read 7 HABITS OF HIGHLY EFFECTIVE PEOPLE SUMMARY IN HINDI USEFUL KNOWLEDGE

par aap zyada der tak kayi baar din mai nahane lagte hai to aapki skin ke uper se
bad bacteria ke saat good bacteria bhi dhul jaate hai or isse skin infection ke 
chance bhi badhne lagte hai 
or isi ke saat kuch log soap(sabun) ka istemaal zyada he karte hai 
to unki skin par se to good bacteria dhul he jaate hai 
saat he saat unki skin dryness ke wajah se kharab bhi hojati hai 
kyuki zyada soap (sabun) skin ke oil ko soak leta hai isse
aapki skin bhot zyada dry hojati hai
isse bad bacteria or viruses ka kaam or aasaan hojata hai 
jisse infection ke chances or badh jaate hai 

CIICK HERE TO READWHY RBI PRINTS LIMITED CURRENCY ?Why Goverment Not Print unlimited money and make everyone rich in hindi


to agar aapko aapke daily routine mai bhot zyada sweat(pasina) aata hai 
to din mai aap sirf ek he baar nahaiye 
or agar thand ka time to tab bhi aap zyada garam paani se na nahaye 
kyuki ek scientific study batati hai ki zyada garam paani se nahane se 
skin infection ka khatra badh jaata hai 
isliye aap luke water(gunguna paani) he use kare
agar aapko aapke daily routine mai bhot kam sweat (pasina ) aata hai 
to aap ek din chorh ke next day nahahiye 
or jisdin aap na nahaye usdin aap wet towel ka use kare
un jagaho ke liye jaha sweat glands sabse zyada paye jaate hai 
jaise ke under arms etc 

to agar aapko kuch new sikhne ko mila to comments mai hume bata sakte hai 
ki achi knowledge thi kyuki hume selfimprovement ke liye    bhot kaam karna hai
aapko mere baaki posts bhi psnd aaege ek baar jaake dekhiye

mera naam hai kaunain aap read karre hai KNOWLEDGEABLE DOSE 
aapko yaha milegi useful book summary, science base knowledge
jo aapko bhot saari baate sikha ke lif mai bhot value create karegi
----------------------------------------------------------------------------------
THANKS FOR VISITING US 
----------------------------------------------------------------------------------
kya oz nahan
a zaruri hota hai?
SHOULD WE BATH DAILY SCIENCE BASE KNOWLEDGE IN HINDI FULL EXPLAINED kya roz nahana zaruri hai? full details in hindi SHOULD  WE BATH DAILY SCIENCE BASE KNOWLEDGE IN HINDI FULL EXPLAINED kya roz nahana zaruri hai? full details in hindi Reviewed by @KaunainRizvi17 on May 08, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.