THE PERSONAL MBA SUMMARY IN HINDI // The Personal MBA Summary With Most Effective Examples

KNOWLEDGEABLE DOSE
 aaj mai aapko batane waala hu summary in hindi
THE PERSONAL MBA BY JOSH KAUFMAN SUMMARY IN HINDI
jo ki sachmai bhot useful hogi aapke liye



Josh kaufman ne jab apni padhai complete kari jo ki ek technical field se related thi
tab unhe oppurtunity mili ek billion dollar company mai Procter & Gamble mai kaam krne ki jo unhone
khushi khushi leli or waha kaam karna start kardiya par jab wo kaam karne lage
waha ke colleagues ke saat jo sabki sab badi badi college se MBA karke aaye hue log
the tab unhe ek bhot important baat realize hui unhe samaj mai aaya ki har insaan ke andar
business skills or marketing skills hona  kitna zaruri hai
or agar kal ko unhe bhi khud ka kuch start karna hoga to unke andar ye skills hona he
chahiye so isiliye wo obessed hogye ki nahi muje kaise bhi karke ye skills sikhni he hai
kaise bhi karke
so unhone sabse phele kya decide kiya ki wo apne colleagues ki tarah badi college se
MBA karege par thoda logically analyse karne ke baad research karne ke baad
alag alag college jaake unhe ye baat bhi samaj aagyi ki
aaj kal college bus naam ki education sikhati hai or log bus degree milne ke liye 
college jaate hai na ki education ke liye jo ki unke hisab se or company ke head ke hisab se 
waste of time or energy tha 
so isiliye unhone ek better tarika choose kiya in saari skills ko sikhne ke liye
jo tha self education ka tarika


unhone kya kiya ki wo apne ek paas ki library mai gye or wha jaake business ke uper
saari books jo bhi available thi waha jaake padhna start kar diya 
or aisehe karte karte unhone kaafi books read krli business ke uper 100+ books 
read krliye jiske wajah se kya hua ki kuch ache time ke baad
un

bade bade college se aaye hue colleagues se bhi kaafi zyada knowledge hogyi thi
infact shayad unke professors se bhi zyada hogyi 
or bus itna he nahi books padhte padhte unhe ek interesting baat samj aayi ki
bhot si information jo in books mai thi wo ek time ke baad repeat hone lagi 
jisse unhe samj aaya ki ye baate jo bar bar repeat hori hai wahi sabse zyada
 important baat hai kisi bhi business mai 
kyuki 80-20 principle ke hisab se ye wo 20% knowledge thi jo hume 80% results degi
to fir isiliye unhone ye repeated knowledge ko ek ek karke gather kiya
or fir ek book likhi jiska naam hai (THE PERSONAL MBA) jiski summary mai aapko abhi dera hu
agar aapko nahi pata to bata du ki josh kaufman ek bhot interesting author hai
jinhone ek or book likhi hai jiska naam hai

  first 20hours naam ki jiske uper
humari next post hone waali hai jisme unhone hume sikhaya hai ki kaise hum 
koi bhi new cheez fir chahe guitar ho ,programming,surfing ho ya fir koi language
use hum bus apni life ke 20 hours laga ke sikh sakte hai 
jo ki aapko next post mai pata chalne wala hai
ab waps aate hai apne topic pe
THE PERSONAL MBA SUMMARY IN HINDI

100+ alag alg book padhne ke baad josh kaufman jo repeated pattern dikhe
or jo baatein sikhne mili use josh ne 5 mental framework mai divide karke josh ne bataya hai


jisme  framework hai
1.VALUE CREATION

2. MARKETING

3.SALES

4.VALUE DELIVERY

5.FINANCE

josh bolte hai inme se agr ek bhi part missing hoga business mai 
to fir wo business business he nahi hoga 

1. kyuki jis business mai value create nahi hoti usse hobby bolege 

2. jis business mai proper marketing nahi hogi wo flop hoga 

3.jis business mai us value ki sales nahi hogi use non-profit bolege

4.business mai agr promise ki hui cheez achese nahi milegi to wo scam hogi 

5.or finally jis business mai paise he nahi banege wo or kuch nahi bus close hoga



so abhi hum in 5 framework ke baare mai achese samjhege taaki hum sahi decison leke
ek sahi tarike se apna profitable business chala sake fir chahe wo khud ka ho ya kisi or ka


1.VALUE CREATION
is part mai hume acha rehne ke liye hume khud se ye question puchna chahiye ki
kya humara product ya service sachmai dusro ko achi value create karke dera hai ki nahi?
kyuki kisi bhi business ko successful banne ke liye sabse simple formula yahi samjha
jaata hai ki aap jitna zyada dusro ki life mai value create kroge apne product ya service se
utna zyada log aapko uske liye paise dege or utni he aapke business ko success bhi milegi

EXAMPLE -:aap ek chotisi juice ki shop khol ke itne paise nahi kama paoge
jitna bill gates or jeff bezos ne kamaya hai
KYU?
kyuki aap juice bechke kuch hazar logo ke liye he value create karoge unki payas bhuja kar
or dusri taraf bill gates ne aisa product or company create ki hai ki jiske wajah se 
aaj ghar ghar mai computer normal insaan bhi use kar paara hai 
warna phele to computers badi badi industries or company he use kar paati thi
but bill gates ke effort ne pc ko normal kardiya or croro logo ki life mai bhot value create ki
unke bhot se kaam ko aasan karke or unki life ko simple banake or isi liye unki
company successful bhi hui 
so inshort bolu to aap jitna zyada value create kroge utna zyada aapka business grow ho sakta hai




2. MARKETING
ye estimate kiya gaya hai ki companies 15 billion se zyada kharch karti hai marketing pe
or wo bhi bus specifically baccho pe ki gayi marketing pe
aap he socho marketing kitni importance rakhti hogi business mai jo companies itne
paise inpe kharch karti hai or wo bhi har saal 
peter thiel jihone paypal form kiya tha wo bhi apni book mai bataye hai
ki humara kharab product achi marketing ke saat bechna to possible hai
par iska ulta karna possible nahi hai or reason bhi sidha sa hai
ki aap kitna bhi acha product kyu na banalo agar aap usse gharme chupa ke rakhoge
to thodi a uske baare mai kisi ko pata chal paega or agar pata he nahi chalega to
log buy kaise karege
isiliye apne product ko logo ke saamne laana bhot important hai 
ek or important baat marketing karte waqt ye bhi dhyan rakho
ki aap marketing hamesha apne targeted audience ko dhayan mai rakh ke karre ho
kyuki log kitna bhi zyada saaf safai rakhne waale kyu na ho agar unke ghar pe
koi chota baccha hoga he nahi to wo aapke banaye hue awesome diapers nahi lege



3. SALES
marketing ke baad jo main part aata hai wo hai sales ka or is part mai hume ye cheez
yaad rakhni hai ki log humse tab tak kuch nahi kharidege jab tak unko humpe trust ya 
believe nahi hoga 
EXAMPLE:- samjho aap ek unknown garib desh mai ghum rahe ho jaha ke baare mai aapko
kuch bhi nahi pata or tab he aapko bhot bhook lagne lagti hai so jab aap idher udher
dekhte ho to aapko do shops dikhti hai ek ke uper kuch ajib language mai kuch to likha 
hua hota hai  or dusre pe likha hota hai mcdonalds 
to ab aap batao is situation mai aap khana khane kaha jaoge
well i guess aap bhi most of people ki tarah mcdonalds he jaoge
kyu? kyuki aapko mcdonalds pe bharosa rahega aapko believe rahega ki waha aap safe rahoge
or waha aapko safe khana milega jisme kuch galat nahi dala hoga khaane mai
or waha aapko koi lutega nahi
 jabki sach iska bilkul ulta he kyu na ho shayad wo unknown jagah ekdam safe ho
jabke mcdonalds aapko unsafe khaane deri ho
par in baato se tab or shayad abhi bhi farq nahi padta so isiliye agr aap chahate ho ki
 log aapko apni mehnat ki kamai khushi se de to phele aap unka trust jeeto or unko khud pe believe krao



4. VALUE DELIVERY
ab sale hojane ke baad jo part aata hai use bolte hai value delivery
ye part hume sikhata hai ki hum apne customers ki expectations se zyada 
ya atleast unki expectations jitna to de he
or usse kam bilkul nahi 
EXAMPLE;- samjho ki agar aap kuch cheez amazon se order krte ho to
jiske liye wo bolta hai ki aapko aapka order 6 din mai milega 
lekin fir agar 2 din ke andar wo cheez aapke ghar tak aajati hai 
so ye cheez aapke expectations se zyada achi hogi 
or aisi type ki cheez ko he bolege value delivery
jo ki har business mai honi he chahiye
taaki costumer khush rahe aapke paas waps aaye or aapke product ya service ko 
dusro ko bhi use krne bole


5. FINANCE
value delivery dene ke baad aapko jis cheez pe dhyan rakhna hoga wo hai finance
matlab kya aap apne kharcho se zyada income generate kar paare ho is business mai ya nahi 
or aap starting se chaaro part ko ekdam achese se complete krlo
lekin at the end aapko profit he nahi milega to fir aapko na chahte hue bhi us business 
ko future mai band karna hoga
or finance mai sahi rehne ke liye author bolte hai ki aap 2 cheeze kar sakte ho
yaa to aap starting k 4 part mai kiye jaane waalo mai se kisi ke kharche kam kro
ya fir second option aap kuch bhot zyada value ki cheez create kro
jiske liye aap zyada costumers ko zyada charge kar sako or wo khushi se aapko zyada charge dene
ke liye ready bhi jaye

ab in paacho 5 parts ko summarize karte hue mai aapko
author ka bataya hua business ka defination batata hu jo ki sachmai bhot awesome hai

wo bolte hai ki rough business mai defination use bolege
jo  no.1 kuch valueable cheez create ya provide karta hai
no.2 jiski logo ko need or bhot zarurat hoti hai or zarurat itni hoti hai 
ki wo no.3 wo aapko uske liye paise dene ko tayyar hote hai or jisse
no.4 unki need or expectations satisfied hoti hai jisse wo khush bhi rehte hai 
or at the end no.5 aap ye saari cheeze karte hue aap profit bhi generate karte ho
jisse aap apna business continue rakh aate ho


bus yahi saari simple cheezo pe author hume dhayan dene ko kehte hai
wo ye bhi kehte hai ki concepts bhot saare hai cheeze bhot si hoti hai jo aap sikh 
sakte ho but ye jo frame work hai wo har business mai same hota hai
or agar aap iss frame work mai dhayan rakhoge to aap kisi bhi business mai
acha kar sakte ho 
ye bhi yaad rakhi ki ye frame work aapko saare questions ke answer to nahi dega 
kyuki thousands of questions aapko business karte waqt aaege 
but ye aapko sahi questions puchne ka tarika sikhaega
jo eventually aapko sahi answers tak bhi pahaucha dega

----------------------------------------------------------------------------------------------
aishese useful knowledge milegi humare blog mai
jiska naam hai KNOWLEDGEABLE DOSE
naam mat bhuliyega mera naam hai kaunain
aap aabki ka content check kijiye trust me aapko bhot psnd aaega
or is post ki link ko zyada se zyada apne friends family tak share kijiye
saari social sites pe jisse sabki help hogi
or at the end sabka faida hoga
-----------------------------------------------------------------------------
thanks for visiting us
-------------------------------------------------------------------------------  
THE PERSONAL MBA SUMMARY IN HINDI // The Personal MBA Summary With Most Effective Examples THE PERSONAL MBA SUMMARY IN HINDI // The Personal MBA Summary With Most Effective Examples Reviewed by @KaunainRizvi17 on May 05, 2018 Rating: 5

1 comment:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.