HOW TO STOP WORRING AND START LIVING BOOK SUMMARY IN HINDI,chinta chhodo sukh se jiyo in hindi HOW TO REDUCE STRESS IN HINDI, HOW TO REDUCE DEPRESSION IN HINDI
HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 1
Hum kitne bhi ameer hojaye famous hojaye ya powerful hojaye jab tak hum chizo ko lekar
Bhot zyada fikar karege tab tak hume apni zindagi utni achi nahi lagegi jitni hume lagne chahiye
kyuki zyada worry karna stress depression anxiety or bhot si aisi cheezo ko paida karta hai
jo humare liye bilkul bhi achi nahi hai
Both mentally or physically or inchizo ke aane ke baad agar hume duniya ki saari achi cheeze
bhi mil jaigi to bhi hum acha feel nahi kar paege (Napoleon) or (hellen keller) is baat ko
proof krne ke perfect example hai
(Napoleon) ke paas har wo chizz thi jiske har insaaan sapne dekhta hai
FAME,POWER,PAISA sab tha fir bhi saint helena naam ke island mai napoleon ne
accept kiya ki unhone zindagi ke 6 din bhi khushi se nahi bitaye
jabki samne jagah hellen keller jo ki blind(andhi) deaf or dump thi
unhone kaha ki zindagi bhot achi or khubsurat hai
ab agar hellen keller 78 years bina worry ki khushi se ji sakti hai apni itni saari problems ke saatto hum kyu nahi
Zyada worry krna humpe bhot impact karta hai
alexis carrel jo ki ek nobel prize winner hai unhone kaha
"PEOPLE WHO DO NOT KNOW HOW TO FIGHT WORRY DIE EARLY "
insaan jo pareshaniyo se ladna nahi jaante wo jaldi marte hai
Dr. O.F jo ki ek chief physician hai unhone bataya ki
70% patients jo ki physician ke paas aate hai wo apne aap ko khud he thik kar sakte hai
agar wo bus apne fear or worry ko bus khatam karde to
ek study mai 15000 student ko examine kiya gaya jinko stomach disorders the
unhe examine karne ke baad pata chala 5 mai se 4 patient ki bimari ka koi physical reason nahi tha
balke unka fear ,selfishness ,hate etc unki bimari ka reasons bann gye the
bhot se famous doctors kehte hai stomach ulcer jo ki jaan le sakte hai heart ki bimari ya fir headache or kuch type ke paralysis ye sab koi or reason nahi balke humare worry krne ke wajah se hota hai
ab ye saari baate aapke liye more than enough honi chahiye ye sab baat samjne ke liye
KI WORRY KARNA HUMARE LIYE KITNA HARMFUL HO SAKTA HAI
A MAGIC FORMULA FOR SOLVING WORRY SITUATIONS
ek engineer the unhe ek factory mai gas link krne ka project mila
jiske liye company ke millions of dollar lag gye the
par project complete hone ke baad wo engineer ko pata chala ki unke kiye gye project ke jo sab waade the jo guranteed the or wo pure nhi kar paare the jiske wajah se millions of dollars k lloss ki zimmedari puri us engineer pe agyi thi wp apne iss failure se bhot zyada pareshan hogye the
wo itna fikr karne lage the ki unhe nind aana band hogyi thi Fir unki common sense ne unko yaad dilaya ki fikr karna situation ko thik nahi karega so unhone ek technique nikali apni iss worry ki problem se deal karne ke liye or ye technique itni asar darr nikli ki wo usse aaj bhi use krte hai
more than 30 years se
ye technique mai 3 simple steps hai jo aapko bhi yaad rakhne hai
HOW TO REDUCE STRESS IN HINDI
STEP 1. ANALYSIS THE SUITUATION FEARLESSLY
or achese se analysis kro ki bure se bura aapke saat kya ho sakta hai
jab wo engineer ne ye socha to unhe bhi lagne laga ki unhe iske liye jail ya phansi to nahi ho sakti hai but haan unka iske wajah se market mai naam bhot kharab hoga or 20 million dollar jo unhone apne employees ke saat invest kiye the wo pure dub jaige
STEP .2 MENTALLY ACCEPT THE WORST POSSIBLE OUTCOME
aapko wo worst case pata chalne ke baad aap use mentally accept karlo
wo engineer ne apne aap se kaha thik hai agar aisa hogya to koi baat nahi
mai firse mehnat karke apna naam bana luga or employees ko samjha duga ki ye ek
experiment cost tha
humare gas saaf karne ki new technique ko pata lagane ke liye
worst thing us engineer ko accept karne ke baad usko bhot sukun mila
jo unhe bhot time se nahi mila tha
STEP.3 TRY TO IMPROVE THE WORST WHICH YOU HAVE ALREADY ACCEPTED
jab wo buri se buri cheez mentally accept ho chuki ho
to wo chiz ko better ya or zyada acha kaise kar sakte ho iss baare mai socho
again wo engineer ne accept karne ke baad ye sochna start kiya ki wo kaise uss 20000 dollars ke loss ko kam kar sakte hai unhone bhot se test kiye to unhe pata chala ki wo apne devices jo ki use hote hai unke project mai wo usme 5000$ ka kaam karalege to unke devices achese kaam karne lagege
ALSO READ-:
NO.1 WHO WILL CRY WHEN YOU DIE SUMMARY WITH BEST EXAMPLES
NO.2 How To Make People Like You In 5 Second? in hindi
NO3 How To BECOME MORE CONFIDENT IN HINDI
NO.4 How To Build Self Confidence IN HINDI
NO.5 WHY A GRADE STUDENT WORK FOR C GRADE STUDENT SUMMARY IN HINDI // WHY TOPPERS WORK FOR FAILURE
fir unhone aisa he kiya jiska result ye hua ki 20000$ka loss hone ke bajaye unhone 15000$ ka profit kara diya ye solution nikaal ke
wahi engineer kehte hai ki agar wo ye 3 step follow nahi karte or bus fikar karte rehte to unhe aisa results kabhi nahi milta
ye technique humare liye bhi bhot kaam ki hai kyuki jab aap worst outcome ko accept krlete ho
to aapka dimaag ek jagah se dusri jagah jaake apne aap ko pareshan karna band kardeta hai
or problem ko solve karne mai zyada concentrate kr paata hai
par aap jab tak accept nahi karoge apni problem ko tab tak aapko aapka dimaag hamesha pareshan karta rahega or kuch acha outcome nahi milega
agar abhi kuch logo ko ye article read karte hue lagra hoga ki uss engineer ki problem itni badi bhi nahi thi or aapke khud ke life ki problem bht he zyada badi hai
to aap sabke liye ek or true story hai
ek aadmi ko ulcers the doctors jo ki specialist the unhone bhi us aadmi ko jawab dediya tha
ye bolke ki unki bimari ka ilaag nahi hai or unka bachna impossible hai
aap ye to soch he sakte ho ki ye sunne ke baad uss aadmi pe kya biti hogi
wo bhot pareshan rehne lage the par fir unhone decide kiya ki jab mere paas bhot kam time bacha hua hai
kyuna mai iss time ko befikr hoke ekdam khushi se bitau
or ekdam khulke jiu
unka sapna tha ki wo marne se phele world tour pe jaaye
to unhe wahi karna sahi laga
unhone ship ki ticket book ki par doctors ne unhe warn kiya ki wo gye to wo wapas nahi aa paege
or unki body samunder mai he daal di jaigi or uss aadmi ko apne sheh mai he dafan hona tha
to wo waha apne saat ship mai apni coffin leke gye
or usko ship waalo ko dediya or agreement rakha ki agar wo marte hai trip pe to shipwale
unki body waps leke aaye ye arrangement karne ke baad wo ekdam befikr hoke trip pe chale gye
or unhone bina soche samjhe jo dilchaha wo khaya piya bade bade cigars piye game khele
kayi saare dost banaye
raat raat bhar jaag ke masti ki gaane gaae or aisi kayi saaari cheeze ki or toofano mai enjoy kiya jo ki jaanlewa the or fir jab wo puri trip khatam hone ke baad waps aaye to unka 90 pounds weight badh gaya tha wo bhul he gye the ki unhe stomach ulcer hai or suprisingly wo ekdam theek hogye the
or uske baad unne ek healthy life khushi se guzari
or ek baat batadu aapko us aadmi ne bhi wahi same step or technique follow kiye the jo hume wo engineer sikha raha hai
unhone apne outcome ka worst pata karliya or usse accept karliye
or uske baad trip pe jaake apni situations ko better karne ki koshish kiye
wo bhi bina fikar kiye
ab wo ye pata chalne ke baad ki mai marne waala hu bus fikr karte rehte
to doctors ki baat sach nikal sakti thi par unhone fikr khatam karke apni life ko khushi se jina choose kiya jisne unki jaan bacha li
ALSO READ-:
HOW TO REDUCE DEPRESSION in hindi
maanlo koi aadmi aake aapko 5 crore rupe de or muje apne dono haat kaat ke bech do
tokya aap bechoge?
agar wo aapko crore or de or bole apni dono taange bhi kaat ke dedo
bhot saare or paise de or bole apni aankhe kaan dusre body parts bhi dedo to kya aap doge?
jaha tak muje lagta hai aap hopefully nahi doge or naa he mai duga
so isse hume ye pata chalta hai ki hum already kitne rich ameeer hai
hum already un chizo ke maalik hai jinki value croro se bhi zyada hai
jo ki hai humari health humari body or humara time
but sochne ki baat ye hai ki kuch laakho ki materialistic cheezo ko own karne ke liye
apni inn keemti chizo ko unke liye hadse zyada pressure daalte hai
punish karte hai or usko ekdam kharab kardete hai
MAI YE NAHI KEHRA HU KI AAP SUCCESSFUL BANNE KE BAARE MAI NA SOCHO
par itna dhyan do ki aap success paane ke chakkar mai apni health or body ko naa kharab karlo
kyuki kitni bhi badi success kyu na mil jaye bina halth ke wo koi kaam ki nahi
hume un chizzo ke baare mai sochke sad nahi hona chahiye jo humare paas nahi hai
balke wo saari cheez jo humare paas phele se he hai usko soch ke acha feel karna chahiye
ye ek principle hai jisne meri zindagi to bhot aasan kardi hai
mai jab bhi kisi cheez ko lekr worry krne lagta hu to yahi same time kisi durr jagah ke log
jinke saamne unk family ko jaan se mardiya jaara ho or aise kitne saare log bhi hai
jo pyaase hoge or unko pine ke liye saaf paani nahi milra hoga
or aise kitne log bhi hai jo bhuk se itne tadap rahe hoge ki mitti khake pet bharre hoge
or mai yaha itna selfish hu jo yaha itni choti moti problems ki fikr karke sad baitha hu
hum sab apni problems se pareshan hoke apni life ko koste hai
par yakin kro jo insaan ko pata hoga ki uski life ka aaj akhri din hai
agar aap usse kahoge ki meri zindagi or uski saari paresahniya tu lele
to wo marne waala insaan khushi khushi saari aapki problems lelega
or fir bhi duniya ka sabse khush insaan hoga
agar aapko anxiety ,depression,worry,stress se durr rehna hai
to ek habit bana lo
or kamse kam apni life ki saari achi cheezo ko din mai ek baar gino
or uske liye uper wale ka shukr kro or jab aap aisa kroge to aapko pata chalega
ki aap apni soch se kitne zyada ameer ho
DON'T ALLOW YOURSELF TO GET UPSET ON SMALL THINGS
Robert More ne ye baat tab sikhi jab wo 277feet paani ke niche ek submarine mai fase hue the
war ka time tha unpe japanese log attack krre the jo ki unki kabhi bhi jaan le sakte the
tab maut ko ekdam paas dekhkr wo sochne lage
ki kaise wo phele itni choti choti baato pe fikr kiya krte the jab wo phele bank mai kaam krte the
unki lambi duty kam salary khud ka ghar na hona ek khud ki car na kharid paana
ye sab tab unhe zindagi ki sabse badi problem lagti thi
par ab jab wo marne waale the unhe samj aaya ki wo sab fikr kitni betuki thi
tab he unhone apne aap se promise kiya ki agar ab wo zinda bach gye to wo kabhi itna worry nahi karege kisi bhi baat ko lekr kabhi bhi nahi
unhe wo chance mil gya or wo wahase bach nikle or fir unhone kabhi bhi uske baad kabhi naa fikr krne kaa waada kabhi nhi toda
mostly hume jo chize bhot badi lagti hai actual mai wo utni badi hoti nahi hai hum bus soch soch ke usko bada bana dete hai
mje yad hai mai phele apne cell mai ache ache songs or games jama karta tha
maine kaafi saare songs or games jama kiye the jo muje bhot psnd the
ek din mera cell phone paani mai gir gaya or uska sabkuch kharab hogya
iss baat ne muje itna pareshan krdiya tha ki mai bhot sad rehne laga tha
aaj jab mai wo baat sochta hu to muje bhot hasi aati hai par tab wo mere liye bhot badi baat thi
hum aisi he kayi stupid baato ko lekr fikr krne lagte hai jo utni badi hoti bhi nahi hai
so next time aap agar koi baat ko lekr fikr kro to apne aapse pucho ki kya mai yahi same baat ko lekr future mai bhi fikr kruga
or agar answer mahi aaya to abhise fikr krna band krdo
ABOUT ALL THE WORRIES WE WORRY ABOUT "NEVER" HAPPEN
500 saal phele Michael .D Montac ne kaha meri zindagi bhot si pareshaniyo se bhari hai
aisi pareshaniya jo ki real mai hoti he nahi ek research se pata chala hai ki 855 baate jiski hum fir krte hai wo actual mai humare saat kabhi hoti he nahi hai
or jo 15% hoti hai usme mse 79% baate fikr krne ki hoti he nahi hai
matlab total 97% baate jiski aap fikr karre ho
wo or kuch nahi bus aapke dimaag ka darr hai
jo aapko pareshan karra hai
to abhi mai aapko kuch tarike batata hu jisse ap ye sab worry ko khatam kar sakte ho
unme se ek ye hai ki aap jina zyada ho sake khud ko busy rakho
because insaan kitna bhi samjdarr ho w ek saat do chize nahi soch sakta
so jab aap busy rehna start kroge to aapko fikr krne ka time he nahi milega
or busy bhi aise kaam mai raho jisme aapki creative ya development ho
ek cheez aap or kar sakte ho think or act cheerful jaise hum ek saat do kaam nahi kar sakte waise
he hum eksaat do chizze feel nahi kar sakte matlab aap kisi baat ko lekr ekdam excited or kisi or baat ko lkr sad ek time pe nahi ho sakte aap jab bhi ense feel kro to muskurao or aisa act kro ki aap bhot happy ho
ye kare se aapko real mai acha feel hone lagega because hum apni feelings ko directly control nahi kar sakte par apne actions ko kr sakte hai or achi aat ye hai ki apke actions or aapki feelings ek dusre se connected haiso jab aap aisa act kroge ki aap acha feel karre ho to aapko real mai acha feel hone lagega
CLICK THE LINK (ENGLISH LINK VERSION)
ye concepts maine aapko dale carnigie ki book how to stop worrying and start living se bataye hai jisko agar aap buy krte ho to or kayi saare solutions find kar sakte ho apni stress reduce karne ke liye
CLICK KARE LINK PAR KHARIDNE KE LIIYE (IN HINDI VERSION)
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
abhi ke liye bus itna he humse jude rehte ke liye humari website mai or bhi article check kar sakte hai jisse aap apni life mai behtar banaoge mera naam hai kaunain milta hu firse naye article mai THANKS FOR READINGS SHARE THIS AND SUPPORT ME
INSTAGRAM MAI MUJE FOLLOW KARE @KAUNAIN_RIZVI
HOW TO STOP WORRING AND START LIVING BOOK SUMMARY IN HINDI,chinta chhodo sukh se jiyo in hindi HOW TO REDUCE STRESS IN HINDI, HOW TO REDUCE DEPRESSION IN HINDI
Reviewed by @KaunainRizvi17
on
March 03, 2019
Rating:
Hello sir,
ReplyDelete"Jai Shree Krishna" nice article but some ward are mistake.who gave problem of reading.so I request please selfthem.
ok i will fix by the way thanks for giving me feedback ;)
DeleteGreat post mate, thank you for the valuable and useful information. Keep up the good work! FYI, please check these depression, stress and anxiety related articles:
ReplyDeleteDepression Cure
Make Yourself Emotionally Numb
Ways To Get Rid Of Anger
Ways To Stop Yourself From Crying
Ways To Reduce Stress | How To Reduce Stress
Ways To Forget Unwanted Memories | How to Forget a Bad Memory
you can also contact me at depressioncure.net@gmail.com for link exchange, article exchange or for advertisement.
Thanks