HEY DOSTO MERA NAAM HAI KAUNAIN
or aap ye post read krre hai KNOWLEDGEABLE DOSE mai
naam mat bhuliyega
or aaj mai aapko batane waala hu summary
book name (7 habits of highly effective people)
hum kitne bhi motivational videos dekhle humara motivation or excitement
level k time aane ke baad khatam ho he jaata hai
or end mai hum sab kuch waise he karne lagte hai jaise normally
humari phele ki aadat hoti hai
log zyada tar apni aadato se majboor hote hai or uske hisab se he kaam karte hai
chahe koi kitna bhi samjhale
actually insaan bane he aise hote hai ki humare liye humari aadato ko
badalna bhot mushkil hota hai
par ye yaad rakhe ki aapki sahi aadat he aapki success or failure ke
bich ka ek sabse important factor banegi
so sabse phele hume ye pata hona chahiye ki konsi habit hume
apne andar change ya devlope krna chahiye
aaj mai aapko 7 aisi habits batauga jo aapko effective banaegi
SO LET'S BEGIN
HABIT NO.1 BE PROACTIVE-:ek restaurant mai ek aaurat ke uper cockroach
aakar baith jaata hai or wo ekdam darr jaati hai panic hokar
chillane lagti hai or uchal uchal kar usko aapne haatho se durr fekne ki koshish
karti hai
itne mai us aurat ke haat lagne se wo cockroach dusri aurat ke uper gir jata hai
or wo bhi fir panic hoke pheli waali aurat jaisa behave karne lagti hai
ye dekh kar paas mai khada ek waiter unki madad krne jaata hai idher udher fekne
mai cockroach waiter ke uper aake baith jaata hai but waiter chillane ya panic hone
ke bajaye sidha khada hota hai cockroach k chalne ko wo achese observe karta hai
or fir jab use confident feel hota hai to wo cockroach ko aapne fingers se pakad leta hai
or restaurant ke bhaar fek deta hai
ye story ko hum author ke proactive or reactive ke concept se relate kar skte hai
yaha waiter ek proactive insaan tha jisne un aaurto ki tarah situation mai react karne
ke bajaye sochke solution nikala or uske according action liya
reactive or proactive hone mai bhot difference hai
reactive log har cheez ke liye dusro ko blame karte hai
example-: unka desh tarakki nahi karra kyuki goverment achi nhi hai,
wo tarakki nhi karre kyuki unka boss acha nahi hai,
wo khush nahi hai kyuki log ache nahi hai,
or agar kuch na mile to wo apni kismat achi nahi hai kehne lagte hai
unhe lagta hai cheeze control karna unke haat mai nahi hai
or wo bolte hai sab haalat or kismat ka khel hai
saari problems bhaar se aari hai but actually unki soch unki sabse badi problem hai
wo log usually aise sentence use karte hai jaise
MAI KUCH NAHI KAR SAKTA
KYA KARU MAI BACHPAN SE HE AISA HU
WO MUJE BHOT GUSSA DILATA HAI
jabki PROACTIVE log apni feelings dusro ko dene ke bajaye
khud samhalte hai wo apne actions ki 100% responsiblity khud pe lete hai
haalat or kismat ko blame karne ke bajaye situation ko wo kaise better kar sakte
hai is baar mai sochte hai or action leke use sahi bhi karte hai
AAP HAMESHA UN CHIZO PAR FOCUS KARO JO AAP CHANGE KAR SAKTE HO NAKI
UNN CHIZO PAR JO AAP CHANGE NAHI KAR SAKTE
HABIT NO.2 BEGIN WITH THE END IN MIND
isme end goal ko aapko yaad rakh ke steps lena hai
abhi ke liye imagine kare aap ek funneral mai gye ho par ye baaki funerral se
bhot alag hai kyuki aap dekhte ho to aapko pata chalta hai ki koffin mai aapki body hai
or wo aapka khud ka funerral hai uss time aap apne aap ke liye kya kya bolna chahoge
ye ek bhot he impactful question hai
kya aap wo saari cheeze abhi kaare hai jab aap apne aap ko tab dekh kar bolna psnd karoge
Example -:agar aap chahte ho aap bol sakte ho ki haan mai ek bhot he acha dost tha
to kya aap abhi ek bhot ache dost jaisa behave karre ho
agr aap aise insaan ki tarah yaad rehna chahte hai jissne life mai bhot kuch achieve kiya
or sabki bhot madad ki to kya aap abhi aisa kuch krre hai jisse aap surely ye keh sakoge
mai chahata hu ki aap abhi apne aap se pucho ki kya kya cheeze hai jo aapko marne se
phele kaise bhi achieve karni he hai both personally or professionallly
or fir jitna jaldi ho sake uske liye kaam karna start karde
HABIT NO.3 PUT FIRST THINGS FIRST
hume jo kaam sabse zaruri hai hume wo sabse phele karna chahiye
abhi ye aadat bolne ko bhot simple hai but sabse zyada mushkil bhi yahi hai
kuch din phele ki baat hai mai college se apne friend ke saat ghar jaara tha
baato baato mai unse muje bataya ki wo bhot busy hai or usse gym jaane ka bhi time
nahi milta jabke usko body banane ka bhot shouck tha
thode time baad raaste mai humne bhid jami dekhi waha do aadmi fight karre the
mera friend wha ruk gaya or muje bhi saat mai rok liya fir humne waha rukke puri ladai
enjoy ki sab khatam hone ke baad maine usse kaha ki ye sab dekhne se
acha tu ghar jaldi jaake gym chala jaata fir usne haske kaha chorh na yaar jaanede
haan muje pata hai jitna time hum waha khade the unte time mai gym mai workout nhi hoti
par ye bhi sach hai ke hume jitna lagta hai hum utne busy hote nahi hai
aisa kitni baar hota hai ki hum distract hoke apne facebook feeds be wajah scroll
karne lag jaate hai
youtube pe videos ya tv dekhne lag jaate hai
or kuch nahi to bus be wajah ki baate sochne lagte hai
jabke hume kuch bhot imporrtant kaam khatam karne hote hai
ye sabse common aadato mai se ek hai jo ki humara bhot sa important time waste karti hai
or ye hume kabhi ek average insaan se uper badhne nahi deti hai
so agar aapko kuch karna hai life mai
to har wo kaam sabse phele khatam karo jo aapko aapke goals tak pahauchne mai help karega
uske baad bache dusre kaam ko priorities do
HABIT NO.4 THINK WIN WIN
maanlo aapka or mera youtube ek ek prank channel hai
or dono ke channel ke paas 1000 -1000 subscribers hai
ab muje aapke channel ke baare mai kisise pata chalta hai
or mai aapke videos dekhta hu or muje aapke videos bhot psnd aate hai
to mai aapko mere channel pe invite karta hu or apne viewers ko aapke channel
ke liye recomand krta hu jisse mere subscribers aapke channel ke bhi subscribers
bann jaate hai or fir similarly aap bhi muje apne channel ke liye bulate ho
or jisse aapke viewers mere channel ke bhi subscribers ban jate hai
isse kehte hai ek win win situation create karna
jisme dono side ka faida nikle na ki bus kisi ek ka
acha agar mai ye sab karne ke bajaye aapse jealous hoke kyuki aap mere competitor ho
to ek fake id banata aapke saare videos dislike karta or sabme bure bure comments karta
ye sochke ki isse aapka kuch nuksaan hoga or indirectly mera faida hoga
to ky aapko lagta hai ki mera sach mai kuch faida hota
obviously aisa nhi hota kyuki mai waha win-loose=loose situation create krne
ka try karra hota jisse hardly long term ke liye kuch acha ho sakta hai
actually humari mentallity he kuch aisi bani hai ki hume lagta hai ki humare jitne
ke liye kisi or ka haarna zaruri hai ya fir usse mil gaya to muje nhi milega
jise kehte hai scarcity mentality
hume ye mentality dimag se nikal ke aisa sochna chahiye ki har insaan k liye
bhot kuch hai yaha jo ki abundance mentality hoti hai
so ab koi bhi situation mai kisi se bhi deal karte waqt ek win win situation create karne ki
he koshish karo jisse sabka faida ho
HABIT NO.5 SEEK FIRST TO UNDERSTAND THEN TO BE UNDERSTOOD
samjho ek din aap ek chasme waale ke yaha jaate ho or batate ho usko ki
aapko do din se barabar dikhra nahi hai ye sunke
chasme waala apna chasma nikal ke aapko dedeta hai or bolta hai ki ye lo ise try kro
ye mere liye kaafi saalo se achese kaam karre hai
so aap wo chasma pehnte ho par aapko or kharab dikhne lagta hai
ab aisa hone ke baad kitne chances hai ki aap wo chasme waale ke paas firse waps jaoge
shayad he kabhi par actually mai hum bhi thode bhot us chasme waale ke tarah he hai
jab hum logo se baat karte hai tab unke problem ko achese diagnose ya achese samjne se
phele he unhe solution dena ya ladna start kardete hai
hum ye easily bol ete hai ki koi humari feelings nahi samjta
par khud bhi rarely saamne waali ki feelings samjne ki koshish nhi karte
sochte bhi hai to is baat ko ki saamne waale ne kya kaha or wo ye sab kaise keh sakta hai
jabki aapka main question hona chahiye ki usne aisa kyu kaha or uski
feelings kya thi wo bolte time
so next time aap jab bhi kisi se baat kare to unki baat aap bus reply dene ke intention se
na sunna balke unki feelings bhi samjna or sabse important saamne waale ko aisa feel hone de
ki aap sachmai samjte hai unki feelings wo bhi aap ekdam genuine rehna
jab aap aisa genuinly karna start kardoge to log aapko bhi samjna start kardege
HABIT NO.6 SYNERGY
agar aap do plants ko saat mai lagate ho to unki jadd saat mai milkar mitti ki
quality achi karti hai jisse doo plant ki growth better hoti hai
un do plants ke compare mai jo alag alag jagah lagaye gye ho
synery ki habit hume milke as a team kaam karne ke liye encourage karti hai
example-: 2 aadmi ek apple tree se kuch apple todne ki koshish karre the
par kaafi try krne ke baad bhi dono us apple tak pahauch nhi paare the kyuki
apples thode uper the fir dono ne soch kar decide kiya ki ek aadmi dusre ke uper
chadh kar apple todega or unhone aisa karke saare apples tod liye
is example ki tarah jab hum logoke saat synergize karte hai
tab hum humari capablities ko double triple or jitna chahe utna badha sakte hai
jisse hume humare goals ko acheive karne mai kaafi asani hojaigi
HABIT NO.7 SHARPEN THE SAW
ek aadmi ek tree ko bhot der se kaatne ki koshish karra tha wo ekdam thak chuka tha
par usse tree kat he nahi raha tha pas he ek aadmi ne use dekha to pass gaya
or usse advice di ki phele use apni aari tez karlena chahiye
ye baat sunkar us aadmi ne usse kaha ki par ye karne mai to bht time jaiga
abhi shyad aapko ye answer stupid lage par hum bhi usually aisa he karte hai
hum excercise ke liye din ke 30 minutes nahi nikal sakte taaki humari health achi rahe
15 minutes koi book nahi padh sakte taaki humari knowledge badhe
or fir hum complain bhi karte ha ki humari zindagi achi kyu nahi hai
habit no.7 apne aap ko humesha better banane mai focus karti hai
apne time ka sabse acha use hume in 4 area banane ke liye krna chahiye
PHYSICAL,MENTAL,SOCIAL,SPRITUAL ye habit baaki 6 habit ko surround krti hai
or hume un sabko follow karna possible karati hai
humare sabse kimti asset ko banake jo ki hum khud hai
agr aap bhi ye book buy karna chahate ho to is niche waali link ko click karke
buy kar sakte hai aapko bhot benefit hoga value milegi aapke paiso ki
ye concepts mai aapko (7 habits of highly effective people se batayi hai)
read here why a grade student work for c grade students summary in hindi
read here what rich people teach their childrens that poor people don't (RICH DAD POOR DAD) hindi summary
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
guies to muje umid hai aapne is post se bhot kuch naya sikhe hoge mai aisehe useful knowledge waaale posts aapke liye likhta rahuga to agr aap meri site pe visit krte ho roz to aapka bhot faida hoga long term mai
aap ye post read krre ho KNOWLEDGEABLE DOSE mai or mera naam hai
KAUNAIN
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
so finally guies thanks for visiting our site

7 HABITS OF HIGHLY EFFECTIVE PEOPLE SUMMARY IN HINDI
Reviewed by @KaunainRizvi17
on
April 26, 2018
Rating:
Awesome sir
ReplyDeleteAapne bahut easily ise samjhaya hai after reading this post, bahut kuch Sikhne Ko bhi Mila
thank you sir aapko psand aaya :)
Delete