HINDI SUMMARY WHO WILL CRY WHEN YOU DIE? WITH BEST EXAMPLES!




hey friends

author jab bade hore the tab unke father ne unhe ek aisi baat boldi
jisne fir unhe bhot soch mai daal diya
infact wo us baat ko kabhi bhul nahi paaye

unke father ne unse kaha tha ki
'beta jab tum paida(born) hue the tab tum rore the
or hum sab hasre the pure family or relatives hum sab bhot khush the

lekin ab tumhe apni life aise bitana hai itne achese se
ki fir jab tumhare jaane ka time aaye
tab tumhare chere pe ek smile ho
par puri duniya ko tumhare jaane ka gam ho

Author Robin Sharma bolte hai ki aaj agr hum chahe to
easily moon (chand) pe bhej sakte hai
par humare paas apne padosi (neighbour) se baat karne ka time nahi hai

aaj hum pinpoint accuracy ke saat duniya ke kisi bhi corner mai blast kar sakte hai
par aaj hum apne ghar mai hone waale problems ko achese dekh ya samj nahi paate

aaj connected rehne ke liye humare paas phone hai computer hai
fax hai or pata nhi kitni cheeze hai
but still aaj hum dusro se sabse zyada disconnected rehne lage hai

isiliye author humse puch rahe hai
aapko negative tarike se sad karne ke liye nahi balke
positive tarike se aapko motivate krte hue
ki
WHO WILL CRY WHEN YOU DIE
kisko aapke na rehne pe dukh hoga

is amazing duniya mai jite hue aapne kitne logo ke life mai impact kara hai
aapne abhi tak apne kitne goals ko apne sapno ko pura kara hai
life mai kitna achieve karliya hai aapne


ALSO READ

CLICK HERE TO READ WHY TOPPERS WORK FOR FAILURE SUMMARY IN HINDI


CLICK HERE TO READ THIS STORY WILL DECIDE YOUR FUTURE HINDI IMPORTANT LIFE LESSON

CLICK HERE TO READ MILLION DOLLAR HABITS BY BRIA TRACY IN HINDI TOP FIVE HABITS OF ALL SUCCESSFUL PEOPLE

CLICK HERE TO READ HOW TO INCREASE HEIGHT AFTER 18 YEAR SCIENCE BASE KNOWLEDGE IN HINDI

aap apni aane waali generation ke liye kya misaal (example) chodh ke jaare ho
well aapko ye sab questions abhi apko kaafi zyada over lagre ho
or itne valuable nahi lagre hoge maybe

but sach to ye hai
EK DIN YAHI QUESTION AAPKO KAAFI ZYADA PARESHAN KAREGE
kyuki aapne bhi to notice kiya hoga ki kaise aajkal din hafte mahine
kitne jaldi jaldi chale jaate hai
aisa lagta hai ki yaa abhi to new year aaya tha itne jaldi kaise itne din hogye

similarly aise krte krte kayi saal nikal jaige
or fir aap sochege apne baare mai ki yaar maine to apni life mai kuch bada achive nahi kiya
apne koi bade goals ko pura nahi kara
kisi ko kabhi inspire nahi kar paaya
OH SHIT MAI TO KUCH BHI NAHI KAR PAAYA LIFE MAI
or us time sabse buri baat to ye hogi ki naa humare paas usdin time bacha hoga na energy

isliye abhi mai aapko author ke sikhe hue best habits or principles batauga
jo aapko is duniya ke sabse common regret se bachate hue aapki life ko bhot
impactful or fulfilling banate hue successful banegi

SO LETS BEGIN

NO.1 DEVELOP TALENTT


Indian mythology mai kahani kuch aise hai ki hazaaro hazaaro saal phele jo koi bhi earth pe rehta tha
wo ek GOD tha jo ki bhot energy waala tha or jo chahe wo haasil (achieve) karleta tha
par kyuki wo apni taakat (energy) ka galat istemal (use) karne lage

to isliye jo supreme GOD the unhone sabki taakat unse chinn li
or fir us enegry ko unhone kahi par chupane ka decide kiya
tab fir supreme god ke advisors ne unhe alag alag salah dena chalu ki
ek ne kahi ki aap use zamin ke ekdam andar chupa do

to ispe unhone reply kiya ki nahi kyuki agar zamin ke niche chupauga to
koi na koi eventually zamin ke andar bhot gehra gadda khod ke use dhund he lega

to fir dusre ne kaha ki acha to aap use samundar(sea) ki ekdam gehrayi mai daaldo
to ispe unhone kaha ki nahi koi na koi kabhi na kabhi samundar ke niche jaake dhundh
he lega

to fir agle advisor ne kaha ki acha aap isse duniya ki sabse bade pahad(mountain) ke
sabse uper rakhdo

to unhone again kaha nahi koi na koi usse pahad pe chadke haasil kar he lega
fir thode time sochne ke baad unhone decide karliya ki wo un powers ko us potential ko
taakat ko jaha rakhege

wo hoga har insaan ke dil ke andar
matlab humare khud ke andar kyuki yahi ek jagah hai koi koi usse dhundne ki koshish
nahi karega or wo takat bachi hui rahegi

is kahani ka main maksat aapko ye samjhana hai ki aapne andar wo sab capablities phele se he hai
jo aapko life mai successful hone ke liye chahiye
infact aapke andar limitless power hai ki aap apne kisi bhi dreams ko aaram se pura kar sakte ho

bus main cheez ye hai ki aapko apne uper apni capablities ke uper yakin karna hoga
or action lete hue apne talent ko improve krna hoga

NORMAN COUSINS  ka ek bhot powerfull quote ye hai ki
'ZINDAGI KI SABSE BADI TRAGEDY MAUT (DEATH) NAHI HAI
BUT TRAGEDY YE HAI KI HUM JITE JITE BHOT SI IMPORTANT CHEEZO KO APNE ANDAR HE MAAR DAALTE HAI'

SIMILARLY ASHLEY MONTAQUE BOLTI HAI KI
'EK INSAAN KI SABSE BADI HAAR TAB HOTI HAI JAB WO IS BAAT KO BHI ACHESE SE SAMJ NAHI PAATA
KI AGAR WO CHAHE TO WO KYA KYA BAN SAKTA HAI OR ABHI WO KYA BANKE RUK GAYA HAI'

author boltee hai ki har insaan ke andar kuch strong point hote hai kuch weak points hote hai
aapko kya krna hai ki apni capablities ko samjte hue apne strong point ko mehnat ke saat or strong krna hai
kyuki yahi cheez hoti hai jo successful logo ko aage badhayi hai
or jo aapko bhi successful banaegi


2.BE SILENT

ek buddha aadmi tha jo ki light house ko chalata tha
ye light house kaafi zyada purana tha but still is lighthouse ke wajah se kaafi saare ships
stone(patthar) se bina takraye apne sahi jagah pe jaate the
ab ye jo buddha insaan tha iske paas bhot he limited amount mai oil tha

jisse light house ki light jalti thi isliye wo usse bhot samhalke use krta tha
ek din kya hua ki ek pados ka aadmi uske paas aaya or bola
muje oil ki zarurat hai ghar mai ujala(roshni) karne ke liye to kya aap muje thoda oil de sakte ho?
ab kyuki us buddhe insaan ko naa bolna acha nahi lagra tha isliye unne us aadmi ko oil dediya
ab ek raat firse kya hua ki ek musafir unke paas aaya or usne bhi unse oil manga raat mai safar karne ke liye

tab us budhe aadmi ne use bhi oil dediya
fir kya hua agli raat ek maaa unke paas aayi
or wo maa ne kaha ki muje mere ghar waalo ko khaana khilana hai to please muje bhi thoda oil dedo
ispe firse us buddhe ne oil dediya

ab itni baar oil baatne ke wajah se kya hua uska pura oil bhot jaldi khatam hogya
jiske wajah se light house ki light bujh gyi
or fir usi raat kayi ships pattharo (stone) se takra gaye
jiske wajah se bhot saare log maare gye

or ye sab galat hua kyuki uss buddhe insaan ne apna pura focus
apni priority (main cheez) se hatake dusri cheezo pe daal diya tha
wo buddhe insaan apna main kaam he bhul gaye the jiski wajah se unhe or dusro ko bhot bada price chukana pada

kayi baar aisa hota hai ki hum humare saat hone waali cheezo mai itna ghum ho jate hai ki fir hum
apni priorities ko he bhul jaate hai or hum wo main cheez he nahi karte jo humare goals
ko pura karne ke liye sabse zyada zaruri hai

dekho is kahani mai bataye limited oil ki tarah humare paas bhi bhot limited time hai
ek average indian ki life 68 saal ki hoti hai
jisme se wo average 8 hours sota hai
to uski 1/3 life to aisehe khatam ho jaati hai
ab samjho bache hai 45 years usme bhi hum 4-5 hum khana or pine mai kharch krdete hai
ab bache 40 years or research ke hisab se 9 saal chale jaate hai un paisa kamane waale
kaam mai jo hume pasand nahi hote

ALSO READ

CLICK HERE TO READ SHOULD WE BATH DAILY SCIENCE BASE KNOWLEDGE IN HINDI FULL EXPLAINED

CLICK HERE TO READ HOW TO LEARN ANY SKILLS IN JUST 20 HOURS SUMMARY IN HINDI FULL EXPLAINED

CLICK HERE TO READ 7 HABITS OF HIGHLY EFFECTIVE PEOPLE SUMMARY IN HINDI

3 saal log travelling or 8 saal log tv programs or entertainment mai kharch krdete hai
4 saal se zyada chale jaate hai ghar ke chote mote kaamo mai

2 saal chale jaige nahane or bathroom jaisi jagah mai
matlab bus bache around 15 saal or yahi maine bachpan budhapa or padhai ka time to count bhi nahi kiya
or jab hum bimar hojate hai

dekho fact ye hai ki humare pass jitna hum sochte hai usse bhot bhot he kam time hai
isliye bhot zyada zaruri hai ki aap silent hoke time ki apni priority set krte raho
or wahi kaam sabse phele karo jo sabse zyada zaruri hai
bina time waste kaamo se distract hue

3. MAINTAIN PERSPECTIVE


ye story aapne zarur suni hogi or ye story itni powerful hai ki iska repeat hona bhi bura nahi hai
ek baar kya hota hai ki 2 patients ek room saat mai share kar rahe hote hai
jo phela patient hota hai uski aankh mai kuch temporary problems hoti hai
jiski wajh se wo kuch dekh nahi paa raha hota hai or sad or gusse mai rehne lagta hai

ab ye dekh ke dusra patient jo khidki (window) ke paas leta hota hai(matlab dusra patient phele patient ko jhut bolta hai usse dosti karne ke liye ki uske paas mai khdki hai)
wo usse baate start karke usse dosti karleta hai or hamesha usse hasane ki koshish krta hai
wo phele patient ko acha feel krane ke liye bolta hai
ki abse mai khidki ke bahar dekhuga ki kya kya hora hai or mai tumko sab batauga

to tum fikar mat karo
aisehe fir wo us phele patient ko bahar ki beautiful scene ke baare mai batata
tree, lake or uske paas khelte hue baccho ke baare mai
to kabhi wo hospital mai aane waale logo ke baare mai step by step sab kuch batata hai
usse hasate hue or ye sab sunke us phele patient ko bhot acha lagta tha

or aishe fir kayi din or hafte nikal jaate hai
or ab finally phele waale patients ki aankh ki patti khulne waali hoti hai
or jis din ye hone waala rehta hai uske ek din phele he dusre waale patient ki sadly death hojati hai
or fir phele patient ko bhot bura lagta hai lekin isse zyada shock usse tab lagta hai

jab usse pata chalta hai patti kholne par ki khidki ke bahar koi bhi beautiful scene tha he nahi
balke bus ek diwaar thi waha
or fir wo nurse ko puchta hai ki yaha diwar kab bann gayi yaha se to ache ache scene dikhte the
jo mera dost khidki ke paas wala patient batata tha khidki kaha gyi diwar kab bani batao
tab us nurse ne ka nahi yaha to hamesha se diwar he thi or jo tumhara dost tha uski to ankhe bhi nahi thi

wo tumhe aisi jhuti cheeze batata tha taaki tum khush raho
or aisa karke use khushi milti thi

bola jaata hai ki dar share karne se adha hota hai
lekin khushi baatne se double hoti hai or yahi perspective ke saat aapko bhi jina chahiye
problems kitni bhi baadi kyu na ho aapko usse ek positive perspective mai dekhna aana chahiye

or ek or habit or principle jo mai aapko isi story se batane waala hu
EVERYDAY BE KIND TO STRANGERS
ALDOUS HUXELY ek bade novelist write or philosopher the
jab unke jaane ka time aaya to unhone apni life ki studies ko 7 word mai convert krte hue

ye kaha ki '' LET US BE KINDER TO ONE ANOTHER''
bhot se logo ko lagta hai ki unki life bhot fulfilling hogi agar wo kuch
bhot badi cheez karege jisse unka naam hoga chehra newpaper ya mazine mai aaega
but sach to ye hai ki ye baat sach se milo durr hai

kyuki ek truly fulfilling successful life ke liye jo sabse zyada important hai
wo hai humara hamesha dusro ke saat kind rehte hue jina
mera khud ka experience hai maine khud bhot saare logo ke examples dekhe hai
jo ki bhot ameer hai bhot paise kamate hai jinhone bhot kuch achieve krliya hai life mai

par still wo zara bhi khush nahi rehte yaha tak unki family bhi unhe pasand nahi karti
unke neighbours bhi nahi koi unhe psnd nahi karta

reason kyuki wo jab bhi baat karte hai unke mu se bus zeherily baate he nikalti hai
ya dusre words mai bolu to kyuki wo log kind nahi rehte dusro ke saat

ek aadmi jisko meri tarah book padhna pasand tha self help ke uper or usne 100 se bhi zyada
books read ki thi or usne conclude kiya ki jo saare principles inme se kayi books mai alag alag
words mai or tarike se bataye gye hai agar wo hum notice karege kahi na kahise
kindness is quality se releated hai

or mai bhi is cheez ko affirm kruga apni alag alag padhi hui books ki knowledge se
fir chahe wo better communication se releated books ho ya fir business se releated
persuade krne se ya fir koi bhi improvement releated book ho
sab hume directly indirectly yahi sikhate hai ki hum agar kind rahege

logo ki baate sunege unhe importance dege
unhe achi service dege unki life mai value add karege to in return humara he faida hoga
isliye aap hamesha dusro ke saat kind raho
kyuki yaad rakho ek kisi insaan ko celebrity ki death par itna bura nahi lagega
jitna usse us insaan ko khone mai lagega jo uskesaat bhot kind tha
jisne uske chehre pe kabhi smile layi hogi apne kind behaviour se

ye thi kuch bhot powerful baat robin sharma ki book WHO WILL CRY WHEN YOU DIE?
ISME OR BHI ZYADA IMPORTANT BAATE HAI YE TO BUS SUMMARY THI IS BOOK KO PURCHSE KAROGE
TO AAP APNI LIFE MAI KABHI UN BADI GALTIYO KI REGRET NAHI KROGE AGR AAPNE PRINCIPLES KO FOLLOW KIYE TO
NICHE WAALE LINK SE BUY KARE
Who Will Cry When You Die?

mai aishe useful article post krte rehta hu to aap check kar sakte hai 
self improvement, business, or science base knowledge 
jo ki aapko janna sachmai zaruri hai
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
YOUR ARE READING KNOWLEDGEABLE DOSE
THIS IS KAUNAIN  
THANK YOU FOR VISITING
HINDI SUMMARY WHO WILL CRY WHEN YOU DIE? WITH BEST EXAMPLES! HINDI SUMMARY WHO WILL CRY WHEN YOU DIE? WITH BEST EXAMPLES! Reviewed by @KaunainRizvi17 on June 02, 2018 Rating: 5

5 comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.