HOW TO LEARN ANY SKILLS IN JUST 20 HOURS SUMMARY IN HINDI FULL EXPLAINED

 aaj mai aapko batane waala hu summary
jo ki sachmai bhot useful hogi aapke liyebook name(THE FIRST 20 HOURS)  mai aapko bonus tip bhi duga to pura read kriega aapke bht kaam ki hai



HOW TO MASTER IN ANY SKILLS IN 20 HOURS
dosto hum sab ke dimag mai ek na ek cheez to aisi hoti he hai
jise humne bhot phele se soch ke rakha hai ki wo mai ek din to
zarur sikhuga/sikhugi but aaj tak wo din aaya nahi hai
jaise ki paino sikhna ,guitar ,new language ya programming etc
ya kuch bhi aisa sikhna jo hume acha feel karwaye
or confidence de
ya fir koi aisi skills sikhna jo humare business ya success ke liye important
ho sakti hai 
kyuki ye baat ekdam sach hai ki aapka aane waala kal kitna acha hoga wo is baat pe depend 
karta hai ki aap aaj konsi skills sikhre ho ya acquire krre ho
inshort bolu to hum sabko acha feel karke aage badhne ke liye or apna future acha karne ke liye
thodi bhot alag alag skills ka hona bhot important hai 
lekin ab problem ye hai ki zyada tar time hume samj he nahi aata ki hum start kaha se kare?
kab kare or us skills ko sikhe kaise time nikal ke
kyuki mostly hum sabke dimag mai ye baat baithi hui hai
ki koi bhi skills sikhne ke liye bhot time or efforts lagta hai jo ki ekDam sach nahi hai 

author josh kaufman ko bhi new cheeze sikhne ka bhot shouck tha
par unki beti ke paida hone ke baad unhe kuch bhi sikhne ka time nahi mil paa raha tha 
so isliye unhone is topic pe research karna start kardiya
or ye pata lagaya ki ek normal insaan kisi bhi skill ko bus 20 ghante practice karke sikh sakta hai
bus 20 ghante wo practice karke wo itna acha hoskta hai ki usne socha bhi nahi hoga  

lekin haan ye possible karne ke liye kuch rules hai jo author ne 5 points mai divide karke bataye hai or bus unhone ye bus research karke find out nahi kiye hai balke is 5 rules ko follow karke  
khuD bhot si alag alag skills sikhe hai 20 ghante mai jaise ke test typing,wind surfing,programming ,ukulele etc.

so ab mai wahi 5 rules batauga jiska use karke aap bhi koi new skills sikh sakte hai jaldi 
or apni expectations se  bhot zyada achese 

SO LET'S BEGIN


RULE NO.1 SET TARGET PERFORMANCE LEVEL

kuch bhi sikhne se phele aapka ye clear hona bhot zaruri hai ki aap wo skills kisliye sikhna chahte ho 
or kitna sikhna chahte ho
EXAMPLE-:muje guitar sikhna hai kisliye bus isliye ki jab mentally thak jau tab use bajake apna mind fresh kar saku  ya dosto ke saat hangout karke gaane gaake chill kar saku bus isliye
na ke stage pe performance karne ke liye ya or kuch 
or kitne ka answer ye hai ki itna ki bus mai apne pasand ke 4-5 songs play kar pau 
same isi tarah koi bhi skills sikhne se phle aapke liye bhi ye saari baate clear hona zaruri hai 
kyu? kyuki samjho ki aap ye decide karte ho ki muje english sikhna hai bus kyu or kitna bina soche to isse hoga ye ki aap confuse ho sakte ho because english mai hazaaro cheeze hoti hai sikhne ke liye jin saare topics ka naam dekh ke he aap ye bol doge ki chorh yaar jaane de baadme kabhi classes laga  ke sikh luga achese

jabki aap english ya kuch bhi mostly aap internet se sikh sakte ho 
bus kuch questions ki help leke apne target peroformance level ko decide karke
jaise ki samjho agar aapko english sikhni hai to kisliye sikhni hai 
kyuki shayad samjho aapko job chahiye or bina english ke bhot log job nahi dete 
so ab job milne ke liye kitni english aana chahiye atleast itni aani chahiye 
ki aap interview achese se clear kar pao 
so yaha interview mai baat karna aapka target performance hoga
so aise target set karke aapka english sikhna easy or fast hojaiga kyuki ab aap confuse nahi hoge
hazaaro cheezo se or fir bus aap internet ki help leke he sikh loge english mai interview dena
jiske baad fir aap apna target or aage badha sakte ho 
jaise ki english mai kaise apne costumers se baat karna ya fir kisi random person ke saat kaise 
baat karna hai or aise he aap bhot kuch sikhloge bhot kam time mai
 

RULE NO.2 DECONSTRUCTION OF SKILLS 

author ne jb ukulele sikhne ki sochi tab unhone string sahi se lagana sikha 
kyuki strings ke bina struments mai awaz nahi aaegi so common sense wo sabse important skills thi jiske baad kyuki unhone ek excess of awesome naam ke band se ye sikha tha
ki almost sab hit pop songs ko 4-5 chords ka use karke sikh sakte hai 
so fir author ne un 4-5 chords ko yaad krna or un chords ko bajane ki skills 
ko alag alag sub skills mai divide karke sikhna start kiya  subskills jaise ke ukulele ko
achese se pakad ne ki skills, finger movement ki skills strump karke ki skills etc.
or aishese skills ko tukdo mai todke unhone practice kari jiska result ye nikla
ki fir unhone ted talks jaise bade stage mai bhi aake ek performance diya 
bus apne 20 ghante mai sikhe us skill ka jo sachmai bhot acha tha
or jise aapko bhi zarur dekhna chahiye uski link niche hai usko click karke dekh sakte ho
josh kaufman ukulele performance ted talks click here

aishe koi bhi skills ko sikhne ke phele aap usse tukdo mai baat do 
or fir jo tukda sabse zyada important hai use sikhna start kardo kyuki bus almost saari skills 
or kuch nahi bus alag alag choti subskills se milke banti hai jin sabko ek saat sikhna mushkil
hosakta  hai 

isliye jo unme se sabse important subskills hai unhe sabse phele sikhna chahiye 
because usse he hume maximum result dikhege 
ye baat 80-20 principle jaisi he hai jo ye bolti hai ki aapko 80% result 20% cheezo ke wajh se 
milte hai
english language mai to 1.5 lakh se bhi zyada words hai 
lekin fact ye hai ki 25 words 33 percent use kiye jaate hai
or aishe har skills mai kuch aisi cheez hoti hai jo ki commonly zyada use hoti hai
or jinhe sikh kr hum maximum result dekh sakte hai minimum time mai

click here to read how to make anyone like you in 90 seconds part 1 hindi

click here to read how to make anyone like you in 90 seconds part 2 hindi



RULE NO.3 RESEARCH JUST ENOUGH

ek experiment hua tha jisme class ke baccho ko 2 group mai divide karke
unhe pots banane ka kaam diya gaya
phele group ko bola gaya tha ki tumlog ko utne ache marks milege jitne zyada pots tum banaoge
or dusre gropus ko bola gaya ki tumlog ko bus ek he pot banana hai or wo jitna acha quality
mai hoga utne ache marks aapko milege
fir isi instruction pe kaam start hua or akhiri din result kuch aise aaye
dusri group mai khub research karke ek pot tayyar kiya tha jo sachmai quality mai acha tha
par dusre taraf phele group ne trial and error se sikh ke same usi achi quality ke 18 kilo ke pots bana daale
or itna he nahi usse or acha 22kilo ka pot bana diye the 
un baccho ne apni galtiyo se sikh kar bhot achi quality ka pot tayyar kardiye the
quality mai bhi quantity mai bhi
yaha ye experiment dikhata hai ki aise practical action sabse zyada important hote hai
kyuki

most of the time humare saat bhi yahi hota hai kyuki hum koi bhi cheez 
sikhne ke liye theory work zyada karte hai lekin actual sikhne mai or practice karne mai
bhot time lagate hai mai khud bhi jab programming sikh raha tha tab mai dinbhar 
programming ke videos or tutorial dekhte rehta tha lekin actual mai practice bhot kam karta tha 
jisse hua ye ki muje zyada muje zyada programming aayi nahi thi or wo time bhi waste hogya tha
isiliye agar aapko bhi koi cheez jaldi sikhna hai to bus utna he research kro 
jitna aapko practice karne ke liye necessary ho or jise aap sahi tarike se practice karo bus
usse zyada nahi 
kyuki at the end practice he aapko wo skills sikhaegi naki aapki research 

click here to read why toppers work for failure summary in hindi


RULE NO.4 REMOVING BARRIERS 

koi bhi skills sikhne ke liye 20 ghante practice karna itna mushkil nahi hai 
kyuki agar aap din ke bus 40 minutes bhi do to or usko practice kroge to 
1 mahine mai ye cheez complete ho jaigi 
lekin haan ye bhot zaruri hai ki hum us 40 minute mai apna pura focus or concentration de 
kyuki ye sabse main part hai pure process ka  jisse achese complete karna bhot zaruri hai
so ab ye possible karne ke liye aapko ye do cheez karni hogi 

1)aapko saare  distraction hatane hoge
2) saare barriers khatam karna hoga

1)distraction hatana matlab simple us time mai aap tv band rakho, apna mobile side kardo
ho sake to silent karke ya akele practice karo jaha aapko koi bhi distract ya disturb 
na kar sake atleast 40 minutes ke liye 

2) barriers hatana matlab apne liye practice krne ke liye jitna ho sake aasaan
 or kam effort ka banana
EXAMPLE-: samjho agar aapko hardin aapko 40 minutes guitar sikhna hai
to aap apne guitar ko pack karke bed ke niche mat daaldo jise fir barbar nikalne mai mehnat 
na lage balke usse ekdam practice krne ki jagah ke paas rakho jahase aap usko
fatak se thodisi will power ke saat uthake practice karna start kardo

click here to read 7 habits of highly effective people summary in hindi



RULE NO.5 PRE COMMIT 20 HOURS

pre commit karna matlab ye commit karna ki aap wo skills ko sikhne ke liye 20 ghante 
to nikaloge he chahe fir kuch bhi hojaye 
ab ye cheez karne ke piche bhot si behaviour physchology or 2 bhot he important reason hai


1 reason ye hai ki aapko isse surely ye pata chal paega ki kya wo skill sachmai aapke
liye sikhna important hai ki aap uske liye apne life ke 20 ghante nikal sakte ho 
or agar nahi to cool wo skill ke baare mai bhul jao 
or koi new skill sikho jo sikhna sahi mai aapke liye important ho 
kyuki life chotisi hai or humare paas time kam hai 


2 reason ye hai ki jab aap 20 hours ke liye commit krloge to ye aapko us frustating period se bhar
nikal dega jo start mai logo ko koi bhi new cheez sikhne ke time aati hai
koi bhi nahi chahata ki stupid lage or usse kuch karna nahi aaye 
lekin fact ye hai ki koi bhi cheez sikhte time humara stupid dikhna or frustate hona fix hota hai 
isiliye jab hum 20 ghante ka commitment dege to is 20 ghante wo cheeze ekdam khatam ho jaigi 
jo hume sabse zyada kuch naya sikhne se rokti hai
or uske baad hume sikhne mai hume bhot maza bhi aane lagega
kyuki result bhi dikhne lagege 
20 ghante ki ek or baat ye achi hai ki ye naato itne zyada hai ki aap soch ke darr jao
or na he itne kam hai ki aap wo skills sikh he naa pao

zyadatar barriers jo hum banate hai kuch bhi sikhne ke liye wo intellectual nahi hote 
balke emotional hota hai 
or ye 5 cheeze un barriers ko easily tod sakti hi 
isiliye zyada socho mat bus start karo or aap muje comments karke batao ki aap konsi skills sikhna chahte ho
or fir jald se jald us skills ko sikhna start kardo bus din ke 40 minute nikal ke

BONUS TIPS

1)aap us 40 minutes ki practice ko 20 - 20minute mai alag kardo author ki tarah 
ise practice or easy ho sakti hai

2) jitni bhi motor skill hoti hai jaise ki guitar sikhna typing sikhna
ye skill aapka raat mai sone se phele sikhna zyada faidemann ho sakta hai 
kyuki iske piche bhot se scientific evidence hai or ye author ne khud bhi ye experience kiya hai
ki jab wo raat mai typing sikhne ke baad sote the tosubha uthne ke baad unki 
typing speed apne aap or zyada achi hojati thi 

dosto aap he socho aapko summary se itni information milri hai to jab aap wo book
read kroge to kitna benefits hoga aapka niche waali link se aap buy karsakte hai

                                                      

dosto to agar aapko ye book summary ineteresting lagi to aap baaki ki bhi books summary read kar sakte hai or bhot kuch sikh sakte hai
is blog mai aapko milegi books summaries or science base knowledge
to aap notifications allow kar sakte hai jise aapka ye faida hoga ki jab bhi mai koi useful post kruga aapko aapke competitor se phele mil jaigi to notification allow karna nahi bhulna
mera naam hai kaunain or aap read karre hai knowledgeable dose
naam mat bhuliyega
thanks for visiting us.....................
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
how you can learn anything in just 20 hours in hindi
how to learn any skills in just 20 hours hindi 
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
HOW TO LEARN ANY SKILLS IN JUST 20 HOURS SUMMARY IN HINDI FULL EXPLAINED HOW TO LEARN ANY SKILLS IN JUST 20 HOURS SUMMARY IN HINDI FULL EXPLAINED Reviewed by @KaunainRizvi17 on May 07, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.