WHY A GRADE STUDENT WORK FOR C GRADE STUDENT SUMMARY IN HINDI // WHY TOPPERS WORK FOR FAILURE

hey guies aaj mai aap sabhi ko ek aisi book ki summary dene jaara hu
jo aapke life mai aap sabhi ko success achive krne mai bht help kregi
fir agr aap school mai fail hote ho ya top krte ho
aapki puri mentality change krdegi jo ki aapke future mai
successfull hone mai bht help kregi or wo aapko achesee
tab he samj aaegi jab aap is post ko pura read kroge
aapko is post se aapki life mai bht value milegi


WHY A GRADES STUDENT WORK FOR C GRADE STUDENTS? BY ROBERT T.KIYOSAKI
WHY TOPPERS WORK FOR FAILURE?
why a student work for c student by rober t kiyosaki


to guies chaliye start krte hai mera naam hai kaunain or guies
is blog pe aapko bht saari knowledge milne waali hai so guies agr aapne meri
baaki post nhi dekhe to check kr sakte ho trust me aapko bht psnd aaegi.
---------------------------------------------------------------------------------



dosto india ki baat ki jaye to india mai har saal bht saare log apna engineering
complete krte hai or main baat ye hai ki un laakho engineers ko
  usme se bus 40% engineers ko job milti hai or 60% engineers jobless rehte hai or
jo wo 40% engineers hote hai unko unki field se bilkul alg job milti hai
jiska example aapko khud kisi engineers se puchne mai mil jaiga
fir unko realise hone lagta hai ki ye engineering degree ki koi value nhi hai
humare relative ki free career guidance ekdam galat thi or almost sad rehne lagte hai
guies kuch dino phele mai fb pe indian facts page ka maine ek post dekha tha
jisme likha hua tha more than 10 lakh logo ne ek chotisi goverment job ke
liye apply kiya tha madhya pradesh mai


or usme sabse badi baat ye thi ki usme 1/3 se zyada log PH.D or Post Graduate the
similarly Uttar pradesh mai to 23 lakh logo ne peon ki normal job ke liye apply kiye the
jisme again PH.D or Post Graduate log the
or yahi type ki cheez aaj har jagah hori hai, logo ke paas degrees to hai
but job nahi hai guies  mai khud apne cousin ki baat kru to unme se kuch
toppers or wo bhi unme se kuch alg field mai kaam krre hai ek chotisi salary
ke liye matlab kya jo humne itne paise or time deke jo cheez sikhi
uski value 0 hai life mai market mai? or agr job chahiye kisiko to sabko
kuch naya he sikhna padta hai extra course paise dekar ya internship lekar
aapko nahi lagta ye sab jo hum krre hai kaafi stupid cheeze hai
well abhi bhi kuch nhi bigda hai late samj aayi ye baat par uspe
work kiya jaye to shayad hume pachtana na pade
is book ke author hai wo hume or parents ko kuch aisi he important baate sikha rahe hai



Author bolte hai ki in sab ka main reason hai humari mentality or education system
jo bus sabko padhai mai topper banne ke liye encourage krta hai
lekin wo financial education nhi deta jo life mai aage badhne ke liye sabse important hoti hai
jisse hota ye hai ki kuch log darr ke wajah se exams to pass krlete hai
kuch toppers bhi ban jaate hai but fir wo kuch log baadme kaam krte hai unke
liye jo education system k nazariye mai ek failure or average ke rup mai jisko
dekha jaata tha
par sach to ye hai ki yahi kuch log real life ke toppers hote hai



so mai abhi aapko is book ke 4 reasons batata hu jiske wajah se
bht saalo phele se toppers logo failure ya average logo ko liye kaam karna padta hai
jinhe samjhne ke baad aap bhale he school ya college mai toppers nhi banoge but
surely aap bht badi success achive krne ke kaabil ban jaoge
or shyad un school or college toppers ko apni company mai job bhi de sakoge

So Let's BEGIN

1. FEAR OF FAILURE
phela sabse bada reason jiske wajah se zyada tar toppers kuch bada nahi kar paate
life mai wo hota hai unka fear of failure
dekho mostly successfull logo ko education system kharab lagta hai kyuki
schools and colleges mai bachpan se train kiya jaata hai ki fail hona bht kharab hota hai
or unhe kabhi life mai fail nhi hona chahiye bus har jagah bus top krna chahiye
aage badhne ke liye or agr fail hue to unhe alg alg punishment di jaati hai
school waale unhe aage class mai jaane nhi dete  parents maarte hai
daante hai negative baate bolte hai  society mazak udati hai aur bht
alg alg tarah se pareshan krte hai un baccho ko sab unhe literally darate
hai ye bolke ki agr tu fail hua to life mai kuch nhi kar paaega etc etc.
so isse hota kya hai ki jitni saari negative cheeze hai ye bacche ke dil
dimag mai baith jaati hai or fir wo ekdm darr darr ke zindagi bitane lagta hai
 wo fir khub  mehnat se padhai krta hai kyuki fir usko ache marks mile
or wo fail na ho achi college mile taaki wo life mai fail na ho
achi job mile taaki wo paise kamata rahe or kuch bhi alg business ya job bhi kre
to kabhi fail na ho
in short kuch bhi ho bus wo fail na ho
jabke successfull is baat ko achese samjte hai ki fail hone see darne ki mentality
kabhi kisiko kuch badha karne nhi degi


example:-1. edison  agar failure se darte to wo kabhi light bulb invent he nhi kar paate

2. Colonel Sanders agr failure se darte to wo kabhi successfull Brand KFC bana he nhi paate
at the age of 65
infact agr aap chahe to kisi bhi billionare successfull logo ko search krke dekho
unme se kahi aapko school drop outs or failures he milege
jo life mai kayi baar fail huye hota hai alg alg tarah se par wo fir bhi fail hone se nhi
darte balke wo to apni failure ke wajahse he aage badh paate hai life mai
bajaye darte hue kisi or ke liye job karne se
ab mai ye nhi bol raha hu ki education system ko fail hone ke liye encourage krane chahiye
jo ke kayi successfull log apne baccho ko sikhate bhi hai obviously exams se hatke ek alg
perespective se 


example:- mai ek bht successful lady ki story read krra tha do teen din phele
jisme unhone bataya tha ki jab har din unki family saat dinner karne baithti thi
tab jo unke father jo ki khud successfull the wo sabse puchte the
ki batao aaj tum konsi cheez mai fail huye or tumne un failure se kya kya sikha
or iske reply mai jab wo successfull lady bachpan mai apne father ko batati thi
apne failure ke baare mai or usse sikhi hui baate ke baare mai
to unke father unki tarif krte the
or tarif krne ke baad kehte the koi baat nhi koi new cheez try krke is cheez ka solution nikalo
or jab kisi din unki beti unse ye bolti thi ki aaj muje aisa koi bhi failure face nhi karna
padha to jo unke father the wo almost sad hojate the or unse kehte the ki aaj tumne kuch
new try krne ki koshish nhi kiye hoge

dekho ye hota hai difference baccho ki mentality ko shape krne ka
wo ladki jisne sikhi apne father se ki fail hona bura nhi hai balke acha hota hai
kyuki usse wo new cheze sikhte hue life mai aage badhti hai to isi mentality
ke wajah se baar baar try krte hue new new cheeze sikhte hue bht badi success full
life create krli apne liye

jabke failure se darne waala insaan aisa kuch krne ki himmat bhi nhi kar sakta 
or ye cheez har jagah hoti hai 

example:- jo log fail hote hai school mai  ya itna acha nhi kar paate education
system ki nazar mai fir wahi kuch log he usually fir system ke bhaar sochne lagte hai
unka dimaag clear hota hai fir paisa kamane ke baare mai
unhe samj aati hai ki padahi he sabkuch nhi hoti to fir wo log alag alg
cheeze karke successfull ban jaate hai

point note krne :-jabke toppers log is system mai fase hote hai jisme wo acha krre hote hai
jisme sab unki tarif krre hote hai shabashi dere hote hai or bus
fir aishe safe khelte khelte wo ek failure ya average insaan ki
company mai job karne lagte hai



REASON NO.2 :- NO FINANCIAL LITERACY
ek or baat jo education system ki itni achi nhi hai wo ye hai ki school hume sabse
important cheez nhi sikhati jo hume humari life mai khushi se survive karne ke liye
bht zaruri hai matlab financial knowledge usi ke baare mai wo hume
achese nahi sikhate
example:- bachpan mai jab humara brain sikhne ke liye ekdam best hota hai
tab hum usually wo saari baate zyada sikhte hai jo humare life mai itni kaam nhi
aati kabhi
jabki important cheeze jaise ki achi communication skills, self confidence,
financial knowledge ,realationship handling aisi saari important cheeze
jo actual life mai bht kaam aati hai wo hume nahi sikhai jaati


schools basically bus order manna sikhata hai jo ek hadd tak discipline ke
liye sahi bhi hai par ye cheez fir baccho ko employee or naukar
mentality waala insaan banane lagti hai

dekho author batate hai ki paise kamane ke chaar quadrant hote hai 
1. employee  (kisi or ke liye kaam karne)
2. self employee (khud ka business ya kuch karke jaha unka rehna zaruri hai)
3. business  (jisme aap aisa system banate ho jisme aapko hmesha rehna zaruri nhi hai)
4. investment ( jisme hoti hai passive income)

ab jo school hota hai wo hume 1st ya 2nd quadrant mai rehna sikhata hai
jabki agr wo financial knowledge bhi sikhaegi tab baccho ko 3rd nd 4th quadrant ki
value samj aaegi or tab he wo bade busness man or investors ban paege
jo unki or desh ki success ke liye bht zyada zaruri hai

America or dusri countries ka aage rehne ka reason ye bhi hai ki waha
parents apne baccho ko financial knowledge sikhate hai
early age se busniess or investing ke baare mai sikhate hai
waha kayi entrepreneurships program bhi hote hai school or colleges mai

jabke humari country mai to parents or teachers baccho ko paiso ke baare mai
baat bhi nhi karne dete or daant dete hai ye kehkr ki padhai pe dhyan do



REASON NO.3 INJUSTICE
Einstein ka ek code hai jo ki hindi mai ye hai ki
(har koi ek genius hai par agr aap fish ko uske tree pe chadhne ki skill pe
judge kroge to wo yahi sochke puri zindagi nikal degi ye bht badi bewakufi)

aajka education system bhi kuch aisa he hai
jo har alg alg talent or hunar waale baccho ko wahi same purane tarike se judge
krta hai  jo ki actual mai fair nhi hai kyuki ye thoda bht aishe he hai jaise
bandar or ek machli ko uske pedh pe chadhne ki skills pe marks dena
ye bhi education system ki ek badi problem hai jisko abhi tak unhone handle
nhi kar paa raha hai
jiske wajah se  bacche usually wo cheez nhi kar paate jo cheez mai
wo actual mai ache hote hai or usme toppers bhi ban sakte hai

ab ye saari baato se sab log ye sochege ki saari galti education system ki hai
or unhe he blame krna chahiye par aisa bhi nhi hai
haan education systems mai kaafi flaws hai  lekin hume blame karne ke bajai
cheezo ko badalna chahiye system ko nhi badal sakte to atleast apne aap ko
badlo or wo aap kaise kar sakte ho aapko next point se samj aaega



REASON NO.4  ABOUT OTHERS
abhi ke liye ek last reason jiske wajah se toppers failures ke liye
kaam karte hai  ya aap bol sakte ho jiske wajah se log successfull nhi
ho paate life mai wo hai isliye kyuki zyada tar log apne realatives
or neighbours ki baat sunte hai aap ye bhi bol sakte ho ki wo galat logo se inspire
hote hai matlab wo unlog ki suggestions lete hai jo ki khud itne successfull nhi hote
or jinhe kuch achese se pata nhi hota jabke success ke liye aapko un logo se sikhna chahiye
jo log khud successful hai or real world or market ko achese se samjte hai
aaj kya chalra hai kya nhi unhe sab pata hota hai

example:- aap mentors se sikho ye jo book ki baat batara hu mai aap sabhi ko
wo khud bhi ek bht successfull insaan hai robert t kiyosaki sucessfull logo ki
books read kro jaise mai krta hu or mai college ki book exams ke phele haat tak nhi lagata
lekin mentors ki books meri fav hoti hai agr aap bhi unhi se sikhoge to aapko real life mai
actual mai kaam aaegi jaise muje aayi 10th tak meri mentality bhi unhi ke tarah thi
job waali 
aap is link ko click karke ye book kharid sakte hai 



so guies umid karta hua aapko meri ye knowledgeable waali post bht psnd aayi hogi
isse share kare har ek student tak taaki wo bhi future mai success achive kar paye
guies ye to bus summary mai aapko itna knowledge mila hai jab book purchase karke
read kroge or aapke life mai or value add hogi muje batana aap comments mai kaisi
lagi ye post or kya aapko or isi tarah ki post chahhiye ya nahi


finally guies thanks for visiting your blog knowledgeable dose
this is kaunain and thank you............:)
WHY A GRADE STUDENT WORK FOR C GRADE STUDENT SUMMARY IN HINDI // WHY TOPPERS WORK FOR FAILURE WHY A GRADE STUDENT WORK FOR C GRADE STUDENT SUMMARY IN HINDI // WHY TOPPERS WORK FOR FAILURE Reviewed by @KaunainRizvi17 on April 18, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.