HOW MUCH SLEEP IS IMPORTANT FOR HEALTH? SCIENCE BASE KNOWLEDGE!

HEY DOSTO MERA NAAM HAI KAUNAIN 
or aaj mai aapko batane waala hu science base knowledge
ki aapko kitna sona chahiye
how much sleep you need? explained



ek normal 60 saal tak jeene waala insaan 175,200 hours so ke guzarta hai
matlab humari puri life ka 1/3 hum sone mai guzaar dete hai
reasearches ko humare sone ka exact reason to nahi pata
but haan wo sab ke sab is baat pe agree karte hai
ki neend (sleep) hum sabke liye bhot important hai
agar hume humare kaam mai productive reh ke healthy rehna hai to
kyuki proper neend nahi milna bhot si problem create kar sakta hai
isiliye abhi mai ab aapko ye sab bhot details mai expain kruga
ki exact aapko kitna sona chahiye aapke hisab se
to chaliye jaante hai
HOW MUCH SLEEP IS IMPORTANT FOR HEALTH? SCIENCE BASE KNOWLEDGE!
--------------------------------------------------------------------


dosto aaj kal ke stressful life mai
ek achi or gehri (deep) neend aapko mentally or physically 
dono tarike se relax karti hai
par kuch log der raat tak jagte hai or fir subha uth ke bhi
jald he uth kar kaam par chale jaate hai
kyuki wo jaante he nahi ki neend unke liye kitna important hai
or achi neend kya hai? achi neend zaruri hogya hai or kitna sona chahiye?

hume ye sab janne se phele hume neend ke kuch hisso ko janna hoga


1. phela hissa humare neend ka 5% hota hai jisme hum halki neend mai hote hai
or muscle activity slow hori hotihai 

2. dusra hissa 45-55% hai humare neend ka jisme saans (breathe or heartbeat)
dheemi (slow) hojati hai or body temperature bhi kam hojata hai

3. or teesra hissa 4-6 shuru hote he hum gehre neend mai jaane lagte hai 
or brain delta waves chorhne lagte hai 

4. or fourth hissa 12-15%  hum bilkul gehri neend mai hote hai 
or body ki movement bilkul band hojati hai  

5. pachwe hisse mai 20-25% isi mai aapko ajeeb sapne aate hai 
heartbeats or saanse ki speed badhne lagti hai 

to dosto kuch scientist ne kitna sona chahiye iske baare mai research ki
or un scientists ne kuch logo ko 3 group mai alag kiya


jisme 1 group ko 4 ghante 
dusre group ko 6 ghante 
teesre group ko 8 ghante ko sone ko kaha
or 14 days baad in teeno groups ke iq test or brain scans mai ye pata chala
ki
 jo log 8 ghante soye the unhone apne cognitive or iq test mai bhot kam galti ki thi

jo log 6 ghanta soye the unka reacion time sharabi aadmi jaisa tha 
or iq mai bhi thodi kami aayi thi

or jo log 4 ghante soye the unka reaction time phele se bhot slow tha 
or kuch to apne iq test mai he sogye the



to in do groups ke brain functions time badhne ke saat kam hote jaare the 
or researches ne isko sleep depth ka naam diya 
to aap ab sochre hoge kya hum isse recover ho sakte hai

agar aap do teen ratein bhot kam soye hoge to aapko 3-4 raatein bhot achi neend leni hogi
apne brain ke functions ko repair karne ke liye

or agar aap kayi hafte se kam sore hore
to aapko kayi mahine achi neend leni padhegi recover hone ke liye


or aap mahino saalo se achese se nahi soye hoge
to shayad he aapke brain functions phele jaise ho paaye
or time badhne ke saat saat aapke brain mai alertness or awareness
dono he kam hojate hai or aapko pata he nahi hota ki aapko kitna sona chahiye
to kayi studies mai researches ko ye pata chala hai
ki jo log 7-8 ghante se kam sote hai 
unko motapa , heartattack , or diabetes jaisi problems ho sakti hai
or saat he saat unke 12% zyada chance hoate hai marne ke 

or jo log 7-8 ghante se zyada sote hai unko bhi 
motapa ,diabetes, or heart attack jaisi problems ho sakti hai
or unke to 30% zyada chance hojate hai marne ke 
to iska matlab zyada sona bhi bura hai 

but kuch aise log bhi hote hai jo sirf 5-6 ghante he sote hai
or tab bhi fit rehte hai kyuki unki kisi specific gene mai mutation(badlav) 
hojata hai jisse fir unhe zyada sone ki zarurat he nahi hoti 

click here why toppers work for failure

or last mai aapko mai yahi kehna chahuga ki agar aap raat mai der tak jaagne ke liye coffee
pite hai to ye aapke liye bhot zyada haani karak ho sakta hai 
kyuki der raat jage rehne se coffee pine ke saat aapki body mai
 bhot zyada stress hormone produce hota hai (hormone cortisol)
jisse aapko bhot buri health problems ho sakti hai
jaise raat bhar neend na aana matlab isomaniac ,constipation, lose motion
acne hona ya bhot zyada gussa aana ya fir anxiety ya concentration bhot kam hojana

so dosto aap isi information ko dhayan mai rakhte hue
apna dhayan zarur rakhe
aap ye post unlog ke saat share kar sakte hai jo bhot kam sote hai
ya fir bhot stress lete hai isse hoga ye ki unhe lagega ki aap unka bhot
khayal rakhte ho or achi cheeze send karte ho to dosto
is post ko zyada se zyada apni social accounts mai share kijiye
how much sleep is important for health?
how much sleep you need?
aapko kitna sona chahiye
dosto meara naam hai kaunain or aap read karre hai KNOWLEDGEABLE DOSE
jisme aapko kaafi saari knowledge milti hai hindi mai

click here 7 habits of highly effective people
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
finally guies thanks for visit us
HOW MUCH SLEEP IS IMPORTANT FOR HEALTH? SCIENCE BASE KNOWLEDGE!
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
HOW MUCH SLEEP IS IMPORTANT FOR HEALTH? SCIENCE BASE KNOWLEDGE! HOW MUCH SLEEP IS IMPORTANT FOR HEALTH? SCIENCE BASE KNOWLEDGE! Reviewed by @KaunainRizvi17 on April 30, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.