why does february only have 28 days or 29 days? in hindi, february mai 28 days he kyu hote hai? in hindi



so guies bachpan mai aapne ek ad baar baar dekha hoga
ki ek bachha puchta hai ki feb mai bus 28 day he kyon hote hai
to usme kajol ne mummy ka role play krte hue boli hai ki kal batau
but inke to itne kal nikal gaye hai lekin aaj mai aapko batane
waala hu ki kyu sirf 28 day hote hai feb mai


so hii guies this is kaunain and
to chaliye sikhte hai knowledge hindi mai
why does february only have 28 days or 29 days?
february mai sirf 28 days he kyu hote hai?
---------------------------------------------------------------------


guies mai phele aapko batau ki feb mai bus 28 days he kyu hote hai usse
phele samjte hai ki 29th day kaha se aata hai feb mai? 

to hota kya hai ki jo humara earth hai wo sun ke aas paas ghumra hai
ghumra hai to isko orbit pura karne mai lag jaate hai 365.242 days
yaane agr hum iska roundfigure le to hojata hai pura 365.25 days
matlab 0.25 hua 6 ghante[hours] saal mai 6 ghante hum piche hojate hai agr hum feb mai jo hai
28 days ke hisab se chale to or aise krte krte hum 4 saal mai ek din banalete hai
to wo ek din mai february mai ek or add karke banalete hai 29th day
taaki hum synchronize hojaye chaaro taraf se or jo humare life se humne ek din
jo gawa diya wo waps ajaye
to ye synchronize ke liye wo jo 29 day hai usko leap year kaha jaata hai
kyuki wo 4 saal mai ek baar aata hai
to guies ye to baat hogyi february ke 29th day ki
ab jo asli question jo hai wo hai 28 days he kyu hote hai
or february mai he kyu march ya other month mai kyu nhi?



to guies iske liye chalna padega bht piche jab ye calendar bana tha
or ye bana tha romans logo ne banaya tha




romans ke jo phele king the unke saamne chunauti[challenge] ki
baar baar festivals aare hai baar baar season change hora hai to
inlog ko mapping karna tha ki konse month mai konsa season konsa festival
aara hai
to inlogo ne baith ke march se lekar december tak 10 mahine [month]
 ke phela calendar banaya or jo inka calendar hai wo march se start
hota tha or december tak khatam hota tha matlab january or february to tha he nhi
so inlog ne fir dimag laga ke kuch mahino mai 30 days dediye or kuch mahino mai 31 days
dediye to inlog ke paas chunauti ye agyi ki jo do mahine leave kiye kyuki
un do mahine mai wo kaam he nahi krte the
to inlog ne soche ki hum kaam he nhi krte  to un do mahino ko calculate he
kyu kare
to fir inlog ko baadme pata chala ki jab march mai garmi aari thi
to 2-3 saal baad to march mai thandi aane lagi to fir inlogo ko samj
aaya ki jo hum do mahine chorh rahe hai wo galat chorh rahe hai
baat aisi hai ki inlog pure saal mai 61.25 days leave krdere the usko count nhi krre the


uske baad ek naya raja aaya rome ka usne kya kiya ki usne bola ki jo even number hai
wo badluck hota hai
to jaha jaha aapne 30 - 30 din diye sabme se ek ek din hata do to aisa karte karte march se lekar jo december tak calendar banaya usme din or kam kardiye or total hogye
298 day

 ab hua kya ki inlog ne bola ki jo humara moon hai wo alag alg tariko se hume dikhta hai
isko 29.5 days lagte the chote moon ko khatam hoke usko waps chota hone mai
inshort usko orbit mai ghumne mai so inlog ne 12 mahine ka calendar  banaya inhone 29.5 ko 12 se multiply kardiya to inke paas agye 354 days to isme firse even number agaya to unhone ek or number add krliya apne calendar mai
or ban gye 355 days to iske chalte  january ko mil gye 29 days or jo inhone akhri mahina joda
tha jisko bolte february usko mil gye 28 days
so ghuma fira ke inlog ke ye sab karne ke baad bhi inke 10 din bach jaate the pure saal ke
fir inko samaj aaya ki ki jab march mai thandi aari thi ab march mai garmi aane lagi


to iske baad jo third king aaya usne bola ki january or february usko aage leke chalo kyuki
march ke phele sab log faltu baith te hai winter aata hai kuch kaam dhanda nhi karte hai
usko aage laga do so ye sab banne ke baad jo calendar aaya usme bus ek he doubt tha ki
jo 4 saal mai ek din bachra hai uska kya kiya jaye?

to uske liye unhone bola ki jo saare month hai wo 30 -31  din ke chal he rahe hai
to february he ek aisa month hai jisme 28th days hai
to kyu na usko ek or din deke usko badha de
to 29 day feb ka bolke leap year chaar saal mai ek baar aane laga



to ghuma fira ke humko to kuch nhi karna padha hum jab bhi aaye hai is duniya mai
humko calendar bana banaya mila or humko jo calendar mila hum usko follow karre hai
ab ek din zyada ho ek din kam ho humko to kuch lena dena he nhi hai
hum to humari bindass life ji rahe hai
----------------------------------------------------------------------------------------------
so guies kaisa laga mera ye post comment mai batana na bhulna
or guies aapne humare aisa exclusive or knowledgable waale topics nhi dekhe to abhi jaake dekho
bhut kuch naya janne ko aapko milega
;)

finally guies thanks for visiting my blog this is kaunain and thank you:)
-----------------------------------------------------------------------------------------------
why does february only have 28 days or 29 days? in hindi, february mai 28 days he kyu hote hai? in hindi why does february only have 28 days or 29 days? in hindi, february mai 28 days he kyu hote hai? in hindi Reviewed by @KaunainRizvi17 on April 16, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.