रिच डैड पुअर डैड Rich Dad Poor Dad Book Summary In Hindi धनी पिता गरीब पिता why rich getting richer, how to become rich,rich dad poor dad in hindi book



HEY DOSTO MERA NAAM HAI KAUNAIN
aap ye knowledge lene jaare hai aapki apni site
KNOWLEDGEABLE DOSE mai
naam mat bhuliyega 

or aaj mai aapko batane waala hu summary
book name (RICH  DAD POOR DAD BY ROBERT T KIYOSAKI)


रिच डैड पुअर डैड (Rich Dad Poor Dad Summary In Hindi


rich log kya sikhate hai apne baccho ko jo ki ek garib ya middle class log apne baccho ko nahi sikhate

rich dad poor dad summary in hindi

aaj mai aapko batauga ek KEY REASON
kyu kuch he log bhot ameer ban paate hai
or zyada tar log garib or middle class reh jaate hai

rich dad poor dad detail summary karo iss link se

रिच डैड पुअर डैड (Rich Dad Poor Dad Summary In Hindi

. Robert naam ka ek ladka tha jiske 2 papa the
ab aap kuch galat mat samajna
jo uske phele papa the wo uske khud ke papa the
or jo dusre papa the wo uske dost ke papa the or Robert unhe mouth father kehta tha
jo uske khud ke papa the unhone PH.D ki thi
or jo dusre papa the unhone 8th class bhi pass nhi kiye the


dono bht he smart or hard working the but dono ki soch bht he alag thi
or Robert ke dono papa usse alg alag baate sikhaya karte the
jo uske khud ke papa the wo kehte the paisa saari fasat ki jadd hai 
(money is the root of all evil)
or jo uske mouth father the (mu bola baap)
wo kehte the paise ka naa hona saari fast ki jadd hai
(lack of money is the root of all evil)
jo uske asli papa the wo hamesha unhe mehengi cheezo ke baare mai sochne se 
mana karte the or kehte the ki wo humari hasiyat ke bhaar hai

or jo uske mu bole papa (mouth father) the wo kehte the ki
alg alg cheeze soche ki wo cheez ko hum kaise le sakte hai
or usse brain ki exercise bhi hogi new ideas bhi milege
jo uske phele papa the wo unse kehte the ki tum khub achese padho likho
taaki tumhe future mai ek badi company mai naukri lage or tum bhot
bade insaan ban pao

dusre papa kehte the ki tu khub padh mehnat kar or khud ki company
start kar taaki tu khub saari naukriya logo ko de paye

ALSO READ- 1.MILLION DOLLAR HABITS BY BRIAN TRACY IN HINDI
                         2. THE PERSONAL MBA SUMMARY IN HINDI

Robert ke paas ek advantage tha
usne apne dono papa ko jab wo 9 saal ka tha tabse
wo un dono se sikhne laga unko observe karne laga
usne apne dono papa ki alag alg soch se unko aage badhte or unki tarakki dekhi
or fir unse apna dimag lagaya or usne apne Mu bole baap (mouth father) ki baat maani
or usse follow ki

or jo ki wo mu bole papa baadme MIAMI FLORIDA ka sabse ameer aadmi bana or uski sikhai baato se khud Robert ne croro kamaye
jabke uske asli papa puri zindagi bhar garib reh gye


sabse important baato mai se ek baat jo robert ne apne ameer baap se sikhi
wo thi FINANCIAL LITERACY jiska matlab hai Assets or Liablity ka difference janna
ab aap gour se read kijiye ye normal commerce mai sikahi gayi se thoda alag hai
Robert ne uska kaafi easy wors mai uska matlab bataya hai
jo ki kuch aisa hai
ASSETS -: Assets har wo cheez hoti hai jo hume paise banake de
          ya fir aapki pocket mai paise daale
LIABLITIES -: or LIABLITIES wo cheez hoti hai jo aapke 
              pocket se paise lele ya aapke paise khatam kare


RICH log isliye RICH hote hai kyuki wo apne assets banate hai
jabki middle class log bas liablities pe kharch karte hai
EXAMPLE-: Alix or john naam ke 2 dost the
dono same postion or same salary pe kam karte the
jab bhi unhe salary milti john hamesha naye gadgets ,new dreses (kapde)
phone, bike ya car mai spend kar deta tha aisi cheeze kharid tha
 jo usse Rich jaisa feel krati thi
par wo ye nahi samjta tha ki ye sab liablities hai
jo ki wo uske paise leri hai naki bus jab wo unhe kharidta hai tab 
balke aage bhi maintainance wagera ke liye
jiski value waqt ke saat kam ho jaigi or na he wo usse aage kuch paiso ka profit degi


But ALIX aisa nhi tha wo saari cheeze nahi kharidta tha jab tak 
ke uske liye wo cheez bhot zaruri na hojai tab tak nahi leta tha
wo paise jama karta tha or assets pe kharch karta tha
jaise ke stocks ,bonds,real state apne khud ke skills badane ke liye
ya kuch sikhne ke liye jo usse aage or paisa banake de


or hua ye ki  2 saal baad Alix crorepati ban gaya
jabke john waise ka waisa apni kam salary ko kosta reh gya
or ye kehta tha ki kam salary uske middle class hone ka reason hai



ek garib insaan ka cashflow kuch is tarah hota hai
-: usse paise milte hai or fir wo paise uske zaruri kharcho mai khatam hojate hai

ek middle class ka cashflow thodasa alg hota hai
-:usse paise milte hai wo paise wo zaruri kharcho or Liablities mai kharch kardeta hai
  isiliye ek middle class or garib mai zyada farq nahi hai
  or mostly middle class logo ko lagta hai ki unka ghar unka assets hai
  par aisa nahi hai aapka ghar aapko paise banake nahi deta unless aap usko rent pe do


jabke Rich logo ka cash flow aisa hota hai
-: unhe paise milte hai wo us paise se assets banate hai phele 
   or fir usse bane paiso se wo kharcha karte hai
   isliye wo or zyada ameer hote jaate hai 
   kyuki unke income ke source badte jaate hai 


agar aapko bhi Rich banna hai to ye baat ache yaad rakhiye
is baat se farq nahi padta ki aap kitna kma rahe hai 
balke aap un paise ko kaise or kaha kharch karre hai ye important hai

aapko consumer ki soch se bhaar aakar investor ki soch apnani padhegi
log complain karte hai unki kharab condition ki wajah unki kam salary hai
or salary badhegi to wo aaram se rahege
par problem ye hai ki income badhne ke baad logo ke kharche zyada badh jaate hai
kyuki zyada paise zyada achi cheezo ko kharidne ke liye majboor karta hai
jaise ke ek latest phone ,car ,ghar ye sab firse ek liablities hai
jo aapkoo kabhi ameer banne nahi degi 

ye baate mai aapko book (RICH DAD POOR DAD) se sikhai hai

muje umid hai aapko ye summary bhot pasand ayi hogi
aap is book ko purchase kroge to bhot kuch or bhi zyada sikh loge
kyuki ye book mai detail mai hai ki rich log kaise rich bante hai ye knowledge aapko har jagah
nahi milti agr aap is book ko buy karte hai to trust me aapka bht faida hoga future mai
 
aap is uper waali link pe click karke buy kare

-----------------------------------------------------------------------------------------
mai aishe useful knowledge waali posts likhta rehta hu jisse aapko bhot profit hoga
guies aap ye blog read karre hai KNOWLEDGEABLE DOSE mai
mera naam hai kaunain
and guies finally thanks for visiting our site
thank you..................
----------------------------------------------------------------------------------------------------------









रिच डैड पुअर डैड Rich Dad Poor Dad Book Summary In Hindi धनी पिता गरीब पिता why rich getting richer, how to become rich,rich dad poor dad in hindi book रिच डैड पुअर डैड  Rich Dad Poor Dad Book Summary In Hindi धनी पिता गरीब पिता why rich getting richer, how to become rich,rich dad poor dad in hindi book Reviewed by @KaunainRizvi17 on April 25, 2018 Rating: 5

2 comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.