agar aapko dil utne ka ehsaas hua ho
ya fir aapko dukh or hopelessness ka ehsaas hua ho
ya fir jab aapkisi ke emotion ko mehsus karre ho
ya aapko kisi ki bhot zarurat hai uski feelin express krre ho
ya fir kisi khaas ki kai mehsus karre ho ya koi bhi intense
emotion mehsus karre ho
TO AAP RONE LAGTE HAI!
to aappne kabhi na kabhi to ye socha he hoga jab aap rote ho
ki humari aankho se aasu kyu aate hai to aaj isi ke baare mai jaanege
to hume 3 types ke aansu aate hai
1.BASAL TEARS
2.REFLEX TEARS
3.EMOTIONAL TEARS
ke naam se jaana jaata hai
to aasu isliye aate hai kyuki humari eyeball ke uper ek gland hoti hai
jo humesha aansu chorhti rehti hai
wo gland ko LACRIMAL GLAND ke naam se jaana jaata hai
or isse aate hue aansu beh jaate hai niche LACRIMAL PUNCTA se
or yahi chgeez hone ke wajah se humare aankh ki sabse uper waali layer
CORNEA dry nahi hoti or humesha moist rehti hai
to in aansuon ko BASAL TEARS ke naam se jaana jaata hai
jo ki bae hote hai paani se or kayi electrolyte se
or humari aankhe 243 ml BASAL TEARS banati hai har din
or jab bhi koi onion cut krra ho aapki aankh mai bhot zyada aasu aane lagte hai
aise isliye kyuki onion se nikal hua IRRITANT CHEMICAL aapki aankh ki uper waali layer
cornea pe deposit hone lagta hai iski wajah se aapki aankh signal bhejti hai
aapke brain ko or fir dimag bhejta hai signalLACRIMAL GLAND ko to lacrimal gland
bhot zyada aansu chorne lagta hai or ye aansu LACRIMAL PUNCTA se ekdam drained nahi
ho paate jiski wajah se aansu over flow hone lagte hai or aankh se bhaar aane lagte hai
or in aansuon ko REFLEX TEARS ke naam se jaana jaata hai or ye bhi bane hote hai paani se
or kayi electrolytes se or jab aap koi intense emotions experience krte hai
to aapke dimag ka limbic system activate hota hai or signal bhejta hai lacrimal gland ko
jisse wo bhot zyada aansu chorhne lagti hai or fir aansu over flow hone lagte hai or aapki
aankho se baar aane lagte hai or ye sab AUTONOMIC NERVOUS SYSTEM ke wajah se hota
hai is process ko aap easily khud se control nahi kar sakte or isi wajah se aapko
rona aara hota hai to usko control krna sachmai bhot mushikl hota hai
to ye aansu EMOTIONAL TEARS ke naam se jaane jaate hai jo ki bane hote hai paani se
kayi saare electrolytes se or A.C.T.H. STRESS HORMONE SE OR ENKEPHALIN SE
ye bhi nikalte hai aapke aansuon se natural pain killer ki tarah jo ki aapka pain kam
karta hai
to agar aap dukh or pareshani jhel rahe hai aur aapke roone ka mann krra hai
to please ro lijiye isse aapka mann halka hota hai jiske baare mai aapne
bhot log se sune hoge lekin uske oiche ka scientific reason nahi pata hoga
isse koi fark nahi padta aap men ho ya women kyuki humare rone se
stress hormone nikalne lagta hai
To dosto isi ke saat aapne is post se kuch new sikha hoga to apne dosto ke saat share krke unhe bhi iske baare mai bata sakte hai😊
Finally thanks for visiting us
This is kaunain you are reading Knowledgeable Dose
Don't forget the name
WHY WE CRY OR SCIENTIFIC REASON BEHIND TEARS IN HINDI FULL EXPLAINED
Reviewed by @KaunainRizvi17
on
May 15, 2018
Rating:
No comments: