IS HOOKAH GOOD OR BAD FOR HEALTH? IN HINDI

Dosto aaj mai aapko batane waala hu kya hookah pina sahi hai ya galat hai
muje umid hai is post ko padhne ke baad aap bht kuch sikh jaige

dosto water piepes ,ghalyan ,lulava, chillum ,hubble bubble ya fir zyzada tar log jis naam se jante hai hookah puri duniya mai use kiya jaata hai buddho se lekar 14-15 saal ke bacche tak pite hai
kyuki maana jaata hai ki hookah sehat ke liye haanikarak nhi hota ye aapne kayi restro longes bar mai dekha hoga ki hookah sab khule mai pite hai jabki smoking zone alag hota hai
iss cheez se logo ki soch or zyada strong hojati hai to ye bhi hum jaan lete hai science ke hisab se ki kya hookah pina sahi hai? ya galat? to aaj isko achese clear karlege
dosto phele jaan lete hai hookah bana kin cheezo se hota hai?
sabse niche waas hota hai jisme paani bhara jaata hai uske uper gas kit hota hai jiske wajah se waas mai aaya hua dhuwa uper nhi jaata ek stem hoti hai bich mai jo niche tak jaati hain paani mai fir uske uper chillum hoti hai jisme flavour tabacco bhara jaat hai or uske uper foil lagayi jaati hai jiske uper coal rakha jaata hai or waas mai paani se thoda uper laga hota hai pipe

ab jaante hai ki hookah kaam kaise karta hai?
to aap jab bhi pipe se lete hai hookeh ka kash to jisse niche waas mai hawa ka dabao kam hojata hai jisse paani uper uthne lagta hai iske baad stem mai bhi hawa ka dabao kam hone lagta hai jiske wajah se uper rakhe jalte hue coal ke through jalte hue flavour tabacco se dhuwa niche stem mai aane lagta hai or paani se guzarta hua waas ki khali jagah mai fail [spread] jaata hai or fir pipe se upar aane lagta hai
dosto ab mai clear krdu ki hookah aapki sehat ke liye haani karak hota hai
ab aapko sochoge ki paani to filter krdeta haina dhuwe ko fir kaise haani karak hua?
to mai batadu ki wo filter nhi karta kyuki tar or nicotine ke molecule paani ke saat judte nhi hai or paani mai se aise he nikal jaate hai
ab aap sochoge ki hum to herbal hookah pite hai jisme to tar or nicotine hota he nhi hai fir kaise haani karak hua agar ek baar maan bhi le ki chillum mai dalne waale flavour mai tabacco nhi hota fir bhi coal se nikalne waala carbon monoxide to hota he hai jo aapko alg alg tarah see nuksaan pahaucha sakta hai jaise ki nicotine or carbon monoxide jo aapki blood vesseles ki uper ki parat ko tod dete hai
or aisa hone se us tuti hui parat mai dheere dheere fats store hone lagta hai jo blood flow mai rukawat banta hai flow in carcinogene ke wajah se aapke brain mai blood cloting ho sakti hai choti choti vessels mai jiske wajah se dimag ke kuch hisso mai blood samay pe nhi pahauch paata
iske alawa kuch log maante hai chillum mai dalne waala flavour asli fruits se bana hota hai
isliye hamari sehat ke liye faidemann hota hai  par aisa nhi hai  kyuki us flavour ka itne tez taapman mai jalne se fruits ke vitamin tut jaate hai fir wo hamare shrir ke liye zyada kaam ke nhi rehte

ab aap ye bhi sochoge ki wo to tab bhi cigratte se tab bhi kam haanikarak haina? kyuki cigratte se to bht kam taapman mai jalta haina? 
to maaana ki cigratte jalti hai 450 se 900 celcius tak or hookah jalta hai 500 celcius tak 
par cigratte ke mukable hukkeh ka dhuwa cigratte se bht gaada hota hai or log hukah pite waqt log hukah ka kash lamba lete hai cigratte se 
or cigratte se kayi zyada der tak smoke karte hai to isi wajah se zyada carcinogene or zyada monoxide aapke sharir mai jaate hai hukeh mai to dosto mai akhir mai itna he kehna chahuga ki hukah aapke sharir ke liye haani karak hota hai

umid karta hu aapko bht kuch sikhne ko mila hoga aap is post ko zyada log tak share karke ye baate baata sakte hai or unko bata sakte hai ki wo aapke liye kitne imp hai



thank you..........
IS HOOKAH GOOD OR BAD FOR HEALTH? IN HINDI IS HOOKAH GOOD OR BAD FOR HEALTH? IN HINDI Reviewed by @KaunainRizvi17 on April 09, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.