why graphic card's price increasing? when graphic card price fall down? in hindi

hey guies welcome to my first post
 yaha hum baat karne waale hai ki graphic card ke price abhi normal hoge ya fir abhi or time lagega graphic card ke price ko normal hone mai
mai aapko iss post mai ye bhi batane waala hu ki abhi kuch time mai graphic card ke price itne high kyu hogye hai to aap iss post ko pura padhiye tab he aapko samj mai aaega
to hum sabse phele baat krlete hai 2017 ki agar us time aapne graphic card purchse krne ka soche hoge to aapne notice kiye hoge ki AMD ke maximum graphic card out of stock chalre the uska main reason ye tha ki AMD ke graphic card crypto currency miners ko kam budget mai zyada profit dere the mai apna example batau to jo maine purchase kiya tha rx460 wo around 10000rs ka tha or ab ki date mai uska price around 28000 rs ke aas paas hai uska reason ye hai ki jo wo graphic card tha wo mining ke liye bht acha tha or gamimg ke liye bhi bht acha tha us budget mai
jaise jaise time jaata gya 2017 ke end tak nvidia ke graphic card bhi out of stock hona shuru hogye
or ye to common si baat hai ki koi cheez out of stock hogi to uske price high hona shuru ho jaige
kyuki jin jin sellers ke paas wo graphic card hoge to wo unko high price mai sell krane shuru kar dege kamane ke liye zyada profit to ye to thi 2017 ki baat jab AMD ke graphics card out of stock hogye the or nvidia ke graphic card out of stock hona shuru hogye the dekha jaye to bht saare graphic card out of stock ho chuke hai or jo available bhi hai uske price bht high ho chuke hai or aisa konsa consumer hoga jo saste graphic card ko bht zyada rate mai kharidega
par jaise ki aapne title read kiye ki graphic card ke price dheere dheer kam hona shuru hogye hai
so according to me thoda time baad in graphic card ke price kam ho sakte hai aisa bhi ho sakta hai ki ye normal rate mai waps milne lage
aapme se mere bht saare bhai ye sochna shuru kardiye hoge ki kya kya reasons ke wajh se graphic card ke price kam hone lage hai
iske 2 main reason hai jiske wajah se graphic card ki price decrease hona shuru hogyi hai
yaha par sabse phela reason hai dag file ka size increase hota jaara hai jaise jaise mining badh rahi hai jo log mining karte hoge unhe dag file k baare mai pata hoga
phele jo dag file thi wo 2gb thi ya thodi usse zyada to jo graphic card tha gtx 1060 3gb wala wo aaram se mining kar sakta tha par ab dag file ka size increase hogye hai to graphic card gtx 1060 3 gb version hat chuka hai jo phele  is graphic card se mining karte the unhe bht loss hua hai kyuki agar unhone staring mai graphic card buy kare hoge tab thoda to unhe profit hua he hoga but agr unhone inflation k time agar wo graphic card buy kare hoge wo bhi bht zyada high price mai to unhe bht nuksaan hua hoga ab yaha gtx 1060 3gb version ki price kam hoti nazar aari hai jo graphic card phele 30000 rs ka milta tha wo ab aapko 22000 rs to 25000 rs tak mil sakta hai ye to mai nhi bol skta ki graphic card ki price kaafi decrase hui hai ya msrp pe mil sakta hai but ye kaafi achi news hai gamers ke liye ki graphic card ki price thodisi to decrease hui hai
or ab mai aapko second main reason batane jaara hu jiske wajah se graphic card ko price decrease hui hai
wo hai cryptocurrency ka crash hojana
kyuki cryptocurrency ab zyada tar loss mai he jaari hai
thode time phele he cryptocurrency bht he zyada niche hogyi hai
aasan word mai bolna chahu to cryptocurrency abhi stable nhi hai jo logo ka interest hai cryptocurrency se thoda thoda hatne laga hai or isi wajah se graphic card ki jo price hai wo kam hona shuru hogyi hai agr aapko cryptocurrency bitcoin ke baare mai nhi pata to mai uspe bhi ek post likh duga mere pyare dosto ke liye to inhi do main reason ke wajh se graphic card ki jo price hai wo increase hui hai mai surety to nhi de sakta ki graphic card ki price kam hogi but yaha jaisa dikhra hai ki thodi thodi price kam hote nazar aari hai according to me agar thoda time or wait kare to graphic card ki price or kam ho skti hai or ek normal consumer ke liye isse acha kya hoga ki usko graphic card msrp pe mil jaye to dosto isi ke saat mai aasha karta hu aapko meri pheli post bht psnd aayi hogi mai aise he usefull cheeze post krta hu to jisse aapki knowledge next level pe jaaye dhanyawaad
why graphic card's price increasing? when graphic card price fall down? in hindi why graphic card's price increasing? when graphic card price fall down? in hindi Reviewed by @KaunainRizvi17 on April 06, 2018 Rating: 5

No comments:

Featured Post

HOW TO STOP WORRYING START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2

HOW TO STOP WORRING AND START LIVING SUMMARY IN HINDI PART 2 agar aap bhi meri tarah india mai rehte ho to abhi kuch mahine phele aa...

Powered by Blogger.